Khud Se Hi Mil Ke Laut Aaye HumHumko Har Taraf Aaina Mila

Mausamo Ke Lifafe Badlate RaheKoi Tehreer Itni Purani Nahi

Jo Mila Khud Ko Dhundhta Hi MilaHar Jagah Koi Dusra Hi Mila

Sulgati Ret Mein Pani Kahan ThaKoi Badal Chupa Tha Tashnagi* Mein

Gujar Jati Hai Yun Hi Umar SariKisi Ko Dhundhte Hain Hum Kisi Mein

Teri Awaj Tabaah-E-Dil Mein Goonj UthiJb Chalakta Jam Honton Se Laga

Main Tujhe Bhoolkar Bhi Nahi BhooltaPyar Sona Hai, Sone Ka Pani Nahi

Meri Aankho Mein Gham Ki Nishani NahiPathar Ke Piyaalo Mein Pani Nahi

Khuda Kisi Ko Mohabbat Pe Fida Na KareAgar Kare To Kisi Ko Juda Na Kare

Koi Bura Saya Hai Is Haseen Shehar PerSham Roshan Hai Lekin Suhani Nahi

Nikal Aate Hain Aansu Hanste-HansteYe Kis Gham Ki Kasak Hai, Har Khusi Mein

Singardan Mein Rehte Ho Aaine Ki TarahKisi Ke Hath Se Girkar Bikhar Gaye Hothe

Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,Us Ko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Jaa Saka,

Bas Is Khayaal Se Kahi Us Ko Dukh Na Ho,Hum Se To Haal-E-Gham Bhi Sunaya Na Jaa Saka,

Ajeeb Raat Thi Kal Tum Bhi Aake Laut GayeJab Aa Gaye The To Pal Bhar Thehar Gaye Hote