Abhi kuch din mujhe meri Mohabbat azmane do ,
mujhe khamosh rehne do ,
Suna he Ishq sacha ho to khamoshi lahu ban ker
ragon me naach uth’ti he ,
Zra us ki ragon me Khamoshi ko jhoom jane do ,
Abhi kuch din mujhe meri mohabbat aazmane do ,
Use main kyun btaon main ne usko kitna chaha hy ?
Btaaya Jhooth jata he k sachi baat ki Khushbu to
khud mehsoos hoti he ,
meri baatain , meri sochian , us’se khud jaan jane do ,
Abhi kuch din mujhe meri Mohabbat azmane do ……..

Jisko dekh kar hum chalna bhul jate hainUsi ko dekhkar mor bhi nachna bhul jate hainKhuda jane ye kaise mushkil aa padiKhush hokar bhi hum muskurana bhul jate hainNind gayab ho gayi hai aajkal meriJab bhi yad aati hai to sona bhul jate hainBahut se aauzu rakhte hain dil main kahne kaMagar jab samne aati hai to kahna bhul jate hainLikhun main kaise usko najrana apne pagal dil kaJo bhi likhna chahte hain to likhna bhul jate hainUnki khuli hui bikhri julfon ko dekhkarAb to suraj bhi nikalna bhul jate hainKarun main kiya ab mujhko batao tum ‘Dost’Usko dekhkar najren htana bhul jate hain..

chaaNdnii raat mein chaaNd ke saamneruKh se pardaa haTaanaa Gazab ho gayaachaaNdanii chhup ga_ii chaaNd sharmaa gayaaaap kaa muskuraanaa Gazab ho gayaadil kii dharkan merii tez hone lagiiraat aaNkhon mein kaaNTen chubhone lagiivasl kii raat mein baat hii baat meinyuuN teraa ruuTh jaanaa Gazab ho gayaajhuum kar kaalii kaalii ghaTaa jab uThiiraat apanii to karavaT badlate kaTiikuchh to mausam ne bechain rakkhaa hame.nkuchh teraa yaad aanaa Gazab ho gayaaapane hisse mein tuufaaN kii taqadiir thiizindagii apanii maujon kii zanjiir thiiDuub jaane kaa apne hamen Gam na thaaus kaa saahil pe aanaa Gazab ho gayaa

Kyun Khud Ko Beqaraar Kiye Jaarahi Hoon MeinKis Bewafa Ko Pyar Kiye Jarahi Hoon MeinAaya Kabhi Na, Aur Jo Na Ayega Phir KabhiKyun Uska Intezar Kiye Jarahi Hoon MeinJo Kisi Wafa Ke Naam Se Bhi Ashna NahiUspar Hi Jaan Nisaar Kiye Jarahi Hoon MeinPoora Na Hoga Wada-E-Wafa Kabhi MagarDanista Aitebar Kiye Jarahi Hoon MeinAnkhoun Ko Ashkbaar Kiye Jarahi Hoon MeinUsko Mein Bhool Jaoun Ye Mumkin Nahi MagarKoshish Ye Baar Baar Kiye Jarahi Hoon MeinDena Naa Gair Ko Itni Jagah Qareeb KabhiDil Tujhko Baar Baar Hoshiyar Kiye Jarahi Hoon MeinRuswa Hui Hoon Aaj Jiske Pyar Me MeinIsko Bhi Sharmsaar Kiye Jarahi Hoon Mein

Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon,
Mein teri mohabbat ki aesi gharri hoon,
Tere hath mein thi mohabbat ki gurriya,
Jahan pe rakha tha waheen pe parri hoon,
Tujhe bhool janey ka socha tha lekin,
Barri dair tak aaj khud se larri hoon,
Tere sang barish mein chhatri ke neechey,
Mujhe yoon laga jese mein bhi jharri hoon,
Teri zaat se mein bhi mansoob ho kar,
Atoot ang hoon zindagi ki karri hoon,
Mera bachpna-pan hai mohabbat mein shamil,
Mohabbat mein qadd se zeyada barri hoon..

Tumhein soch-soch kar, tan mein jagi aungdayeeKaisi-kaisi aithan jagi, aag lagaye bahki purwayee;Kitna najuk pal hai yeh, jab tum hi tum dikhti hoChahat ke changul mein fans, pighle yeh garmayee.Najar-najar ka khel hai yeh, najron nein aag lagayeeRas-Ras boondein tapak rahi, hothon ki hai badhayee;Gaal-gulala- kamal se chikne, chchuwan se ho fislayeeChehra chaand sa lagne lage, roshani faila jab muskayeeSach boloon to jab tum aati ho, mujhe achcha lagta haiKhul khayal khilne lagte hain, armanon ki rang-rangayee;Aas-pass sab jaanch-jaanch, tum aanch-aanch aungnayeeBandhan mein chandan sa lagta, jaise jism-jism amrayee.

Nasha aisa chhaya, teri aashiki kaHua dil diwana, teri sadgi kaYe aankhe jhuki si, ye sharimilipanBadan chandni sa, aur ye pairahanAjab sa sama hai, teri dilkashi kaNasha aisa chhaya teri aashiqi kaTu khamosh hai, ek tasvir jaiselage aise tu, meri takdir jaiseDiya hai mere dil ki tu raushni kaNasha aisa chhaya teri aashiki kaTeri ek jhalak ne diwana banayaHame khud se bhi begana banayaChhaya hai mere dil pe jadu ye bekhudi kaNasha aisa chhaya, teri aashiqi ka‘Avinash’ se jara tu bas pyar karke dekhBahon main aa ja ek pal ijhar karke dekhAajayega maja fir, jine main jindgi kaNasha aisa chhaya, teri aashiqi ka..

Nasha aisa chhaya, teri aashiki kaHua dil diwana, teri sadgi kaYe aankhe jhuki si, ye sharimilipanBadan chandni sa, aur ye pairahanAjab sa sama hai, teri dilkashi kaNasha aisa chhaya teri aashiqi kaTu khamosh hai, ek tasvir jaiselage aise tu, meri takdir jaiseDiya hai mere dil ki tu raushni kaNasha aisa chhaya teri aashiki kaTeri ek jhalak ne diwana banayaHame khud se bhi begana banayaChhaya hai mere dil pe jadu ye bekhudi kaNasha aisa chhaya, teri aashiqi ka‘Avinash’ se jara tu bas pyar karke dekhBahon main aa ja ek pal ijhar karke dekhAajayega maja fir, jine main jindgi kaNasha aisa chhaya, teri aashiqi ka..

Ajeeb wehshat taari hai mujh per tere bin,
Ke saans lena bhaari hai mujh pe tere bin,
Na jee saken na mar hi saken judaayi mein,
Yeh zulm kesa jaari hai mujh pe tere bin,
Na kuch dikhayi deta hai na soojjhay kuch,
Andher duniya saari hai mujh pe tere bin,
Ke chorr ker jis din se gaye ho tum mujhe,
Shadeed aah-o-zaari* hai mujh pe tere bin,
Main bhool betha hoon apne aap ko jana,
Teri ajaara-daari* hai mujh pe tere bin,
Sadaa guzaaron kese bahaar ke din mein,
Yeh zarb* yeh bhi kaari* hai mujh pe tere bin.

mujhe aarzoo e sehr rahi
yunhi raat bhar bari daer tak
na bikhar saka na simat saka
yunhi raat bhar bari daer tak
tha bohat azaab aur akele hum
shab e gham b meri taweel tak
rahii zindagi bhi saraab aur
rahi aankh tar bari daer tak...
yahan har taraf hai ajab samaa
sabhi khud pasand sabhi khud numa
dil e be-qaraar ko na mil sakaa
koi chaaraa ghar bari daer tak
mujhe zindagi hai azeeztar
isi waaste mere hum-safar
mujhe qatra qatra pila zehr
jo kare asar bari dair tak

Hello everybuddy,re if u people like it ,hava ke saath badal jhoom raha tha ,lagta hai pehla pyar hua tha ,kuch deir ka aalam tha ,ab ro raha tha .sochta tha badal hava rukne wali hai,baat mere bhi dil ki samajhne wali hai,kuch deir ka aalam tha ,ab ro raha tha.sapno mein aayi thi dil mein samayi thi,yehi baat kyo us se chupayi thi,kuch deir ka aalam tha ,ab ro raha tha.tufaan ko aana tha ,usko(hava) to jana tha,tanha badal ko rahna tha,kuch aisa hi aalam tha,ab to rona(barsaat) hi tha.hava ke saath badal jhoom raha tha ,lagta tha pehla pyar hua tha,gaauurr se dekho,wo tanha ro(BARSAAT) raha tha ..=====Raj Rana.love knows no boundaries.

Tere Lehje mai Mohabat Ka Assar main Dekhoon
Aankhein Teri Hon Un Se Mgar Mai Dekhon
Khof Ata Hai K Ab Anjam-e Safar Kia Ho Ga
Har Ik Darya mai Be Reham Bhanwar Mai Dekhon
Phir Isi Shor Mai Jungle Ki Traf Chal Nikle
Ujre Mosam Mai Har Ik Zakhmi Shjar Mai Dekhon
Thak Kar Pohncha Hon Tere Dar Par Mgar Tu Na Mila
Rah Dushwar Pe Ik Aur Sfar Mai Dekhon
Mere Shairon Mai Jo Bebaki Se Nazar Aati Hai
Larzish Hai Qalam Mai Ik Khof Ka Ngar Mai Dekhon
Nam Likhte Hai Mitate Hai Bnate Hain Chehre
Waqt K Kenwas Pe Apni Unglion Ke Hunr Mai Dekhon

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,” Tum mere HUMSAFAR ho”, jab keh kar jaati ho.

Ik zara si ranjish say
Shak ki zard tehni per ph00l badgumani k
Is tarah say khiltay hain
Zindagi say piyary bhi
Ajnbi say lagtay hain
……Ghair ban k miltay hain
D0st dar lehj0n mein
Silvatain si perti hain
Umar bher ki chahat ka kuch sila nahee milta
Dasht e be-yaqeeni mein aasra nahee milta
Wahm0n k saaye say umar bher ki mehnat k0
Pal mein torr jatay hain
Bheer mein zamany ki
Saath ch00t jatay hain
Ik zara si ranjish say
Haath ch00t jatay hain
Khuwaab t00t jatay hain!!!!!

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki
Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai