Saaqi Dekh Zamaane Ne Kaisi Tohmat Lagayi Hai; Aankhein Teri Nasheeli Hai Sharabi Mujhe Kehte Hai

Peenay De Sharab Masjid Mein Baith Kar Galib; Ya Woh Jagah Bataa Jahan Khuda Maujood Nahi Hai

Tohfe Mai Mat Gulaab Lekar Aana; Meri Qabr Par Mat Chiraag Lekar Aana; Bahot Pyaasa Hoon Barso n Se Main; Jab Bhi Aana Sharaab Lekar Aana

Teri Yaad Ne Hamhe Jeene Na Diya; Chain Se Humko Ab Marne Na Diya; Hum Peete Hai Teri Yaad Me Zalim; Par Iss Duniya Ne Hame Peene Na Diya

Mehfil-e-Ishq Sajao To Koi Baat Bane; Daulat-e-Ishq Lutao To Koi Baat Bane; Jaam Haathon Se Nahi Hai Peena Mujhko; Kabhi Aankhon Se Pilao To Koi Baat Bane

Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log; Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log; Tu Zehar Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi; Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log

Mahekta Hua Jism Tera Gulab Jaisa Hai; Neend Ke Safar Mein Tu Khwaab Jaisa Hai; Do Ghoont Pee Lene De Aankhon Kee Mastiyan; Nasha Teri Aankhon Ka Sharab Ke Jaam Jaisa Hai

Gham Ish Kadar Barhey Ke Mein Ghabra Ke Pee Gaya; Is Dil Ki Be-Basi Pe Tarss Kha Ke Pee Gaya; Thukra Raha Tha Mujh Ko Bari Der Se Jahan; Main Aaj Sab Jahan Ko Thukraa Ke Pee Gaya

Jab peene se nafrat thi mujhe to zabardasti pilayi yaaron ne; Ab aadat pad gayi peene ki to machaayi e duhayi yaaron ne; Maine maana janab peeta hu peeta hu be-hisaab peeta hu; Log logon ka khoon peete hai main to phir bhii sharab peeta hu

Saaqi Gayi Bahaar Dil Mein Rahee Havas; Tu Minnaton Sey Jaam Dey Aur Main Kahoon Key Bas

Yu Toheen Naa Kar Sharaab Ko Kadwa Keh Kar; Zindgi Ke Tajurbe Sharaab Se Bhi Kadwe Hote Hein

Kehte Hai Pee Ne Wale Mar Jate Hai Bhari Jawani Me; Hum Ne Toh Dekha Hai Buzurgo Ko Jawan Hote Maikhane Me

Paani Se Pyaas Na Bujhi; Toh Maikhane Ki Taraf Chal Nikla; Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se; Par Khudha Bhi Tera Ashiq Nikla

Maikhane Saje The Jam Ka Tha Daur; Jam Me Kya Tha Ye Kisne Kiya Tha Gaur; Jam Me Gum Tha Mere Armano Ka; Aur Sab Kahe Rahe The Ek Aur Ek Au

Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai; Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai; Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye; Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai