Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota,
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,
Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam,
Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota !!!

Meri mohabbat ki takdeer dekho,
Jo roothe the unake paigaam aa rahe hai,
Jab maar dala meri pyaas ne mujhko,
Wo aankhon me lekar jaam aa rahe hai…

Har Dhadkan mein ek Raz hota hain,
Har baat ko batane ka ek Andaz hota hai,
Jab tak Thokar na lage Bewafai ki,
Har kisi ko apne Pyar par Naz hota hai…

Unhe yeh shikayat hai humse ...
Ki hum har kisi ko dekh kar muskurate hai ...
Nasamajh hai woh kya jaane ...
Hume toh har chehre mein wohi nazar aate hai ...

Yun durr reh kar duriyon ko badaya nahi karte
Apne deewano ko sataya nahi karte
Har waqt bas jise tumhara khyal ho
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte

Jo tum chaaho wo tumhaare ho,
Roshan raate aur khoobsurat sawera ho,
Jaari rakhege ham duao ka silasila,
Kee kaamyaab har manjil pe dost hamara ho…

Mujh Ko Rula Kar Vo Bhi Roya To Hoga
Muh Aansuo Se Usne Bhi Dhoya To Hoga
Agar Na Kiya Hai Hasil Kuch Humne Pyar Mein
Kuch Na Kuch Usne Bhi Khoya To Hoga.

Hogi kisi ki tammna sitaron ko pane ki
Hamari to chahat hai sitara ban jane ki
Koi to chahta hoga kisi ko dil me basana
Hamari to adat hai dil me bas jane ki

Is do pal ki jindgi mai tanhaiee kyoun hai
Logo ko ham se rusawee kyoun hai
Is duniya mai insan ki kami nahi hai
Fir hamare sath hamari parchaee kyoun hai

Ham to hamaare liye kuch kar na sake,
Jin ke liye kiya wo samajh na sake,
Koi khel gaya yu apne se,
Sisakte rahe par muh se aah bhi na nikaal sake…

Chand ki judai me aasma bhi tadap gaya.
Uski ek zhalak pane ko har sitara taras gaya
Badal ke Dard ko kya kahoo
Chand ki yaad me vo haste haste baras gaya

Tum dil se hamein yon pukara na karo,
Yon tum hamein ishara na karo,
Door hain tumse ye majburi hai hamari,
Tum tanhaiyon mein yun tadpaya na karo …

Unse Roj milne ko dil chahta hai,
kuch sunane aur sunane ko dil chahta hai,
Tha kisi ke manane ka andaz aisa ki,
Ek bar ruth jane ko dil chahta hai…

Dhoka Fareb Sab Zamane Mein Reh Gaye,
Ham Pyar Ka Haq Ada Karne Mein Reh Gaye,
Jo Sath Chale The Wo Aage Nikal Gaye,
Hum Raste Ke Patthar Hatane Mein Reh Gaye

Dekho awaz dekar pass hume paogi..
Aaoge tanha par tanha na jaoge..
Dur rehkar bhi tumpe nazar hai meri,
Hantho se tham lenge jab bhi thokar khaogi…