Yeh dunia ik khwabon ki zameen haiYahan sab kuch hai aur kuch bhi nahin haiTere chone se pehle wehma thamujhe apne barbaad hone ka gham nahiJu sochon tu sulag uthti hain saansainTera ehsaas kitna aatsheen haiJaga don kaise tujh ko apne dil meinYahan tu tera gham masnad nasheen haiMere chehre pe koi jhuk raha haiYeh lamha tu khuda jaisa haseen hai

Chand se phul se ya meri zuban se suniyehar taraf aap ka qisa jahan se suniyesab ko aata hai duniya ko sata kar jinazindagi kya muhabbat ke dua se suniyemeri aavaz parda mere chehare kamain hun khamosh jahan mujhako vahan se suniyekya zaruri hai ki har parda uthaya jayemere halat apne apne makan se suniyePoet of the poem or ghazal or nazam is Nida Fazli

Jahan ped par char dane lagehazaron taraf se nishane lagehui sham yadon ke ik ganv meinparinde udasi ke aane lageghadi do ghadi mujhko palkon pe rakhyahan aate aate zamane lagekabhi bastiyan dil ke yun bhi basindukanen khulin, karakhane lagewaheen zard patton ka kalin haigulon ke jahan shamiyane lagepadai likhai ka mausam kahankitabon mein khat aane-jane lage

Tum se berangi-e-hasti ka gila karana thadil pe anbar hai khungashta tamannaon kaaj tute hue taron ka khayal aaya haiek mela hai pareshan si ummidon kachand pazmurda baharon ka khayal aaya haipanv thak thak ke reh jate hain mayusi meinpurmahan rahguzaron ka khayal aaya haisaqi-o-bada nahi jam-o-lab-e-ju bhi nahitum se kahana tha ki ab aankh mein aansu bhi nahi

Phir koi aaya dil-e-zar nahi koi nahiraharau hoga kaheen aur chala jayegadhal chuki raat bikharne laga taron ka gubarladakhadane lage aewanon mein khwabida chiragso gai rasta tak tak ke har ek rahaguzarajanabi khak ne dhundala diye qadmon ke suraggul karo shamen bada do mai-o-mina-o-ayagapne bekhwab kiwadon ko muqaffal kar loab yahan koi nahin, koi nahi aayega

Kuch Nahi Kehta Yeh Dil Chupchaap Sa Rehta Hai,Dard-E-Dil Itna Hai Ki Har Pal Ashq Behta Hai,Dekhta Hun Jab Bhi Kisi Toote Huye Taare Ko,Na Jaane Kyun Wo Kuch Keh Raha Sa Lagta Hai,Yeh Duniya Kyun Itni Matlabi Ban Chuki Hai,Rishto Se Jyada Ab Paise Pe Kyun Tiki Hai,Har Ek Saks Dil Ko Seeshe Ki Tarah Pehle Todta Hai,Jaroorat Padti Hai To Phir Kyun Ise Jodta Hai..

Kare badarva aaye chai udasibhigi bhigi palaken hain pyar ke pyasijab se gae ho chod ke hamakodil ko na jane kya ho gaya haiaan milo ab jiya na jalaosavan bhi ab bit chala haiek jhalak to aake dikha jaandhera hai man mein diya to jala jabhulanavale hum ko teriyaad satayede na sake jo chain bhi man koaag lage aise savan komeha barase aansun baraserimjhim mere dip jalaye

Ek Dil Hi Tha Jise Keh Sakta Tha Main Apna,Ke Ab Raha Na Dil Bhi Iss Jahan Mein Apna,Teri Pehli Hi Jhalak Par Dil Haar Beitha Tha Main Apna,Ke Ab Tujh Hi Ko Banaunga Main Apna,Kehne Ko Tha Har Ek Dost Apna,Ke Ab Raha Na Koi Bhi Jise Keh Sakoon Main Dost Apna,Mere Dil Mein Thi Ek Aas Ke Banaunga Main Tujhko Apna,Khuda Ko Manzoor Tha Kuch Aur Ke Ban Saka Na Tu Bhi Apna..!!!

Kaise chupaun raz-e-gam dida-e-tar ko kya karundil ke tapish ko kya karun soz-e-jigar ko kya karunshorish-e-ashiqi kahan aur meri sadagi kahanhusn ko tere kya kahun apni nazar ko kya kahungham ka na dil mein ho guzar vasl ke shab ho yun basarsab ye qubul hai magar khauf-e-sahar ko kya karunhal mera tha jab butar tab na hui tumhen khabarbad mere hua asar ab main asar ko kya karun

Ye kya jane mein jana hai, jate ho khafa hokarmain tab janu mere dil se chale jao juda hokarqayamat tak udegi dil se uthakar khak aankhon takisi raste gaya hai hasaraton ka kafila hokartumhin ab dard-e-dil ke naam se ghabraye jate hotumhin to dil mein shayad aaye the dard-e-ashiyan hokaryun hi hamdam ghadi bhar ko mila karte to bahatar thake dono waqt jaise roz milate hain juda hoka

Zinda hun is tarah ki gam-e-zindagi nahijalta hua diya hun magar roshani nahiwo muddaten huin hain kisi se juda huelekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahiaane ko aa chuka tha kinara bhi samanekhud usake pas meri hi nayya gai nahihoton ke pas aaye hansi , kya majal haidil ka muamala hai koi dillagi nahiye chand ye hawa ye fiza, sab hai mand mandjo tu nahi to in mein koi dil-kashi nahi

Sine mein jalan aankhon mein tufan sa q haiis shahar mein har shakhs pareshan sa q haidil hai to dhadakane ka bahana koi dhundhepathar ke tarah behis-o-bejan sa q haitanhai ke ye kon si manzil hai rafiqota-hadd-e-nazar ek bayaban sa q haihum ne to koi baat nikali nahi gham kewo zud-e-pasheman pasheman sa q haikya koi nai baat nazar aati hai hum meinaaina hamen dekh ke hairan sa q hai

Ye dil kabhi na muhabbat mein kamayab huamujhe kharab kiya, aap bhi kharab huaajal men, zist mein turabat men, hashr mein zalimtere sitam ke liye main hi intakhab huanigah-e-mast ko saqi ke kon de ilzammera nasib ki rusava mera shabab huahamare ishq ke das-bis ne bhi dad na dikisi ka husn zamane mein intakhab huafana ka dawa hazaron ko tha zamane meinhabab ne mujhe dekha to aab-ab hua

Kaisa chalan hai gardish-e-lail-o-nahar kashikwa har ek ko hai gam-e-rozagar katuti jo aas jal gaye palkon pe sau chiragnikhara kuch aur rang shab-e-intazar kais zindagi i hum se haqiqat na puchiyeik jabr jis ko naam diya ikhtiyar kaye kon aa gaya meri bazm-e-khayal meinpucha mizaj kis ne dil-e-sogavar kadekho phir aj ho na jaye kaheen khun-e-aitamaddekho na toot jaye fusun aitabar ka

Dil Se Dil Ka Rutba Achcha Laga..Aaj Usko Sochna Achcha Laga,Jaate Jaate Aakhri Lamhe Mein,Mudkar Uska Dekhna Achcha Laga,Zindagi Bhar Usne Jo Kuch Bhi Kiya,Uska Har Ek Faisla Achcha Laga,Har Taraf Thi Bawafa Logo Ki Bheed,Ek Wo Hi Bewafa Achcha Laga,Wo Haya Ki Har Ada Mein Thi Jab,Paas Reh Kar Bhi Fasla Achcha Laga,Kyo Mohabbat Ho Gayi Usse,Kya Bataye Humko Usme Kya Kya Achcha Laga..!!!