Kal fir yehi sama hoga,
Hum mein se kaun na jane kahan hoga,
Murjhaye phool to mil jayenge kitabo mein,
Par bichhade dosto ka shayad hi koi pata hoga….

Phoolo se khushboo churayi nahi jati,
Suraj se roshni chhipayi nahi jati,
Kitni bhi door kyo na ho tum,
Dosti me aap jaisi dost ki dosti bhulayi nahi jati. ..

Dosti ke mayne humse kya poochte ho,
Hum abhi in baaton se anjaan hai,
Sirf ek gujarish hai ke bhool na jana hame,
Kyuki aapki dosti hi hamari jaan hai…

Jab se hum tabah ho gayetum jahanpanah ho gayehusn par nikhar aa gayaaaine siyah ho gayeaandhiyon ko kuch pata nahihum bhi gard-e-rah ho gayedushmanon ko chitthiyan likkhodost khair-khvah ho gaye

Bahane bahane se aapki baat karte hai,
Har pal aapko mehsus karte hai,
Itni baar to aap saans bhi nahi lete honge,
Jitni baar hum aaapko yaad karte hai….

Sitaron ke aage bhi koi jahan hoga,
Jo na dekha kabhi woh sama hoga….
Us jahan ke saare hasin nazaron ki kasam,
Aap sa pyara dost dusra kaha hoga…

Dosti K Naam Pay Deewaanay Chalay Aatay HainShama K Peechay Perwaanay Chalay Aatay HainTu Meri Zindagi Main Nahin Aana Chahata Na AaPar Aana Meri Moat Pay Us Din To Begaanay Bhi Chalay Aatay Hai..

Dost hai to Aansuo ki bhi shaan hoti hai,
Dost na ho to Mahfhil bhi Kabristaan hoti hai,
Sara khel to dosti ka hi hai,
Warna mayyat aur barat ek saman hoti hai.

Kajal Banke Teri Aankho Mein Samane Ki Tamanna Hai,Dawa Banke Tere Dard Mitane Ki Tamanna Hai,Yun To Haasil Hai Zamane Ki Har Cheez Mujhe,Sirf Ek Baar Tujhe Dulhan Ke Roop Mein Paane Ki Tamanna Hai

Deep To Andhi Mei Bhi Jala Karte Hain,
Phool To Kanton Mei Bhi Khila Karte Hain,
Kitne Khusnaseeb Hota Hain Wo Jinhe
Aap Jaise Pyare Dost Mila Karte Hain…

Lab Khulte Hai Band Ho Jate Hai,
Sacche Dost Milte Hai Bichad Jate Hai,
Per Jab Saath Bitaye Din Yaad Aate Hai Toh
Hasti Aankhon Se Bhi Aansoo Nikal Aate Hai…

Yeh Sila Mila Hai Mujh Ko Teri Dosti K PeechheKeh Hazaaroon Ghum Lage Hain Meri Zindagi K PeechheWoh Ameer Hain To Hoon Ge Main Ghareeb Hoon To Kiya HaiWoh Mehal Bana Rahe Hain Meri Jhompri K Peechhe

Zindagi K Tufano Ka Sahil Hai Teri Dosti
Dil Ke Armaano Ki Manzil Hai Teri Dosti
Zindagi Bhi Ban Jayegi Apni To Jannat
Agar Maut Aane Tak Sath De Teri Dosti…

Iss Ajab Daur Mein Aashiq Bhi Ajeeb Hote Hai
Ek Din Dost Dusre Din Rakeeb Hote Hai
Iss Liye Toh Maine Mohabbat Nahin Ki Hai
Mohabbat Mein Toh Sirf Dukh Naseeb Hote Hai

Chalti Hai Har Pal Zindagi Peeche Dost Chhuth Jaate HainChalte Firte Haste Rote Bahut Yaad Aate HainKhushi Jab Bhi Milti Hai To Kambaqt Koi Saath Nahi HotaHum Bhi Bebas Dil Hi Dil Mein Muskurate Hain.