Doob Jata Hun Unki Aankhon MeinGahri Jheel Hain Unki AankheinBah Jata Hun Unki Aankhon MeinBahti Nadiya Hain Unki AankheinKho Jata Hun Unki Aankhon MeinAtha Sagar Hain Unki AankheinJal Jata Hun Unki Aankhon MeinJwala Mukhi Hain Unki AankheinBheeg Jata Hun Unki Aankhon MeinKali Ghata Hain Unki AankheinKya Se Kya Ho Jata Hun Unki Aankhon MeinKaisi Aur Kya Balaa Hain Unki Aankhein.

Ajeeb Pagal Si Larki HaiAjab Pagal Si lerki haiMujhay her khat main likhti hai“Mujhay tum yaad kertay ho?Tumhain main yaad aati hooN”mairi baatain sata-ti hainmairi neendain jagati hainmairi aankhain rulaati haindecember ke sunehri dhoop main abb bhee teheltay ho?kisi khamosh rastay sekoi awaaz aati hai?TheTharti serd raatoN maintum abb bhee chatt pe jaatay ho?falak k

Mairi Ankhoon Mein Ansoo Ke Tarhaan Aik Raat Aa JaooTakaluf Say Banawat Say Adaa Say Choot Lagti HaiMein Shapnam Ke Zubaan Say Pholoon Ke Awaz Sunta HoonAjab Ehsaas Hai Apni Sadda Say Choot Lagti HaiAaj Ham Bichhre Hain To Kitane Rangiile Ho GayeMerii Aankhen Surkh Tere Haath Piile Ho GayeKab Kii Patthar Ho Chukii Thii Muntazir Aankhen MagarChhuu Ke Dekhaa To, Mere Haath Giile Ho Gaye

Main apne khwab se bichada nazar nahi aatatu is sadi mein akela nazar nahi aataajab dabav hai in bahri hawaon kagharon ka bojh bhi uthta nazar nahi aatamain ek sada pe hamesha ko ghar chod aaya thamagar pukarane vala nazar nahi aatamain teri reh se hatane ko hat gaya lekinmujh to koi bhi rasta nazar nahi aatadhuan bhara hai yahan sabhi ke aankhon meinkisi ko ghar mera jalta nazar nahi aata

Bhigi hui aankhon ka ye manzar na milegaghar chod ke mat jao kaheen ghar na milegaphir yaad bahur aayegi zulfon ke ghani shamjab dhup mein saya koi sar par na milegaaansu ko kabhi os ka qatara na samajhanaaisa tumhen chahat ka samundar na milegais khwab ke mahaul mein be-khvab hain aankhenbazar mein aisa koi zevar na milegaye soch lo ab aakhiri saya hai muhabbatis dar se uthoge to koi dar na milega

Ankhain Tarsain Teri Soorat,Dill Hai Soona Teray Bina,Aangan Bhi Soona,Kaisay Bhujay PyasIs Soonay Mann Ki,Tu Hi Batla Gauri,Kaisay Bhujay Pyas Is Mann Ki?Mann Hai Pyasa..Jewan Hai Pyasa..Kaisay Bhujay Pyas Is Mann Ki?Sawan Ab K Baras Bhi Aya Tha..Boondain Ab K Baras Bhi Barsi Thein..Par Pyas Bhujhi Na Is Mann Ki…..Jewan Laagay Tujh Bhin Adhoora..Tu Hi Batla Gauri..Kaisay Bhujhay Pyas Is Mann Ki?

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Ho GaEk Din Aayega Wo Shakhsh Hamara Ho GaYe Achanak Jo Ujala Sa Hua Jata HaiDil Ne Chupke Se Tera Naam Pukara Ho GaIshq Karna Hai To Din Raat Usse Sochna HaiAur Kuch Zehan Mein Aaya To Khasara Ho GaJis Ke Hone Se Meri Saans Chala Karti ThiKis Tarah Uss K Bagair Apna Guzara Ho GaKaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Loonga Uss KoMere Maula Ka VASI Junhi Ishara Ho GaWasi Shah

Samandar Mein Otar Ti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati HainTeri Aankhon Ko Parti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati HainTera Naam Likhne Ki Ijazat Cheen Gai Hai Jab SeKoi Bhi Lafz Likhti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati HainNa Jane Ho Gai Hoon Is Qadar Hasas Main Kab SiKisi Se Baat Karti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati HainHazaroon Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil ParLekin Jab Bhi Hansti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain

Saada Se Ik Chehray PerKia Jadooger Si Aankhain HainJo Daikhay Un Ka Ho JayeJo Uteray Woh Thah Na PaayeKitnay Sapnay Jaag Rahay HainUn Palkoon K Saaye SaayeShama Sehar Si, Chara Ger Si, Naama Ber Si Aankhain HainAnjaani Pehchani BhiApni Aur Baigaani BhiAik Hi Manzer Ka Hissa HainAks Bhi Aur Hairaani BhiSahil Jaisi Lagti Hain Aur Bhenwra Jaisi Aankhain HainSaada Se Aik Chehray Per Kia Jadooger Si Aankhain Hain

Bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karate hoaur phir aankh churate ho ye kya karate hobad mere koi mujh sa na milega tum kokhak mein kis ko milate ho ye kya karate hochinte pani ke na lo nind bhari aankhon parsote fitne ko jagate ho ye kya karate hohum to dete nahi kya ye bhi zabardasti haichin kar dil liye jate ho ye kya karate hohon na jaye kaheen daman ka churana mushkilmujh ko divana banate ho ye kya karate ho

Kuch Khood B They Afsurda Se,Kuch Tum B Hum Se Rooth GayeKuch Khood Hi Zakhm K Aadi The,Kuch Sheeshey Haath Se Choot GayeKuch Khood B They Hassas Boht,Kuch Apne Muqaddar Rooth GayeKuch Tum Ko Such Se Nafrat Thi,Kuch Hum Se Na Bole Jhoot GayeKuch Logo Ne Uksaya Tumhein,Kuch Apne Muqaddar Phoot GayeKuch Khood Itne Mohtat Na They,Kuch Log B Hum Ko Loot GayeKuch Talkh Haqaa’iq They Itne,K Khuwab Hi Sarey Toot Gaye

Ham Wo Bedard Hain KKhwab Luta Ker Bhe Jinheen Nend Ajatii HaSouch Souch Ker Bhi Ae Jin K Zehnun Ko Kuch Nahe HotaRo Ro Ker Bhe Jin Ki Ankheen Muskurana Nahe BholteenTot Phot Ker Bhe Jin K DilDhrakna Yaad Rakty HainHam Wo Bedard Hain KJin K AnsuuAnkhun Ka Rasata Bhool KerDil Per Girty HainTot Ker Ronay Ki Kosesh Main JoBat Be Bat Muskuraty HainRoz Mar Jany Ki Khwahis Main JoJeety Hain Aur Jeet Hi Chaly Jaty Hain!!!!

Kuch Din To Baso Meri Aankhon MeinPhir Khwab Agar Ho Jaao To KyaKoi Rang To Do Mere Chehre KoPhir Zakhm Agar Mehkaao To KyaJab Hum Hi Na Mehke Phir SahibTum Bad-E-Sbaa Kehlaao To KyaEk Aaina Tha So Toot GyaaAb Khud Se Agar Sharmaao To KyaMein Tanhaa Tha Mein Tanhaa HoonTum Aao To Kya Na Aao To Kya!Jab Dekhne Wala Koi NahinBujh Jaao To Kya Genaao To KyaHai Yoon Bhi Zyaan Aur Yoon Bhi ZyaanJi Jaao To Kya Marr Jaao To Kya

Kia Baat Kahon Un Ankhon KiJin Ankhon Pe Main Marta HoonWoh Ankhen Jheel Si Ankhen HainJin Main Doob Ke Rooz Ubherta HoonMujhe Dekhne Ke Liee Uthiti HainMiltey Hi Nazar Woh Jhuktin HainSare Jahan Main Aesi Ankhen NahiJin Ankhon Pe Main Marta HoonIn Ankhon Main Koi Ansoo Na Aee KoiKabhi Koi Gham Na Pass Aae KoiSada Muskuratin Rahen YeHar Dam Ye Dua Main Karta HoonKia Baat Kahon Un Ankhoon KiJin Ankhon Pe Main Marta Hoon

Laut aayi tere lams se mahaki hui shamenphir aag laga di teri sanson ne hawaraqsan hain isi lay pe sitaren hon ki shabanamkya sahar hai is dil ke dhadakane ke sada meinik nur ka sailab hai band aankhon ke andarlipate hue chehare hain andhere ke rida meinkis aag ne rakkha hai qadam dil ke zamin pesuraj se damakate hain nishan-e-kaf-e-pa meinis khauf se ik umr hamen neend na aayiik chor chupa baitha hai sine ke gufa mein