Bas ek tujhe hi yakeen nhi mere jazbaaton pr
Wrna kitne hi deewane bn bethe meri mohabbat ki dastan sun k

Kabhi kabhi zindagi mein yeh tay karna bada mushkilm ho jata hai ke galat kya hai
Woh jhooth jo chehre pr muskan laye ya woh sach jo aankhon mein aansu le aaye

Tez hawa ka jhonka aaya ,
Mahak uthi yeh vasundhara sari !
Hare - hare pallavon se sushobhit har lata ,
Satrangi pushpon se bhari bagiya ki kyari !
Varsha ki boondon mein bheegkar ,
Mayooron ne apni sudh - budh hai bisari !
Meghon ki gadgadati dhwani ne ,
Cheda hai raag malhari !
Nadiyon ki lahron ko dekhon ,
Lagti hai kitni manohari !
Aisa lag raha hai mano ,
Khuda ne jameen par jannat hai utaari !!