Tez hawa ka jhonka aaya ,
Mahak uthi yeh vasundhara sari !
Hare - hare pallavon se sushobhit har lata ,
Satrangi pushpon se bhari bagiya ki kyari !
Varsha ki boondon mein bheegkar ,
Mayooron ne apni sudh - budh hai bisari !
Meghon ki gadgadati dhwani ne ,
Cheda hai raag malhari !
Nadiyon ki lahron ko dekhon ,
Lagti hai kitni manohari !
Aisa lag raha hai mano ,
Khuda ne jameen par jannat hai utaari !!

Your Comment Comment Head Icon

Login