Aaj Jarurat Hai Jiski Woh Paas Nahi Hai; Ab Unke Dil Mein Wo Ehsaas Nahi Hai; Tadapte Hai Do Pal Baat Karne Ko; Shayad Ab Waqt Hamare Liye Unke Pass Nahi Hai

Uski Khamoshi Se Darr Lagta Hai; Door Na Ho Jaye Mujhse Aisa Kyon Lagta Hai; Duniya Se Use Cheen Lene Ka Hausla Hai Mujh Mein; Lekin Woh Saath Na Dega Aisa Kyon Lagta Hai

Chand Ki Judai Me Aasman Bhi Tadap Gaya; Uski Ek Zhalak Pane Ko Har Sitara Taras Gaya; Badal Ke Dard Ko Kya Kahoon; Chand Ki Yaad Me Vo Haste Haste Baras Gaya

Khamoshi Se Adaa Ho Rasm-e-Doori; Koi Hungama Barpaa Kyun Karen Hum

Log milte hai aur phir ek dusre ke kareeb aate hai
Aur kareeb aakar aksar juda ho jate
Agar juda hona hi hai toh log milte kyu hai

Tumhare Baad Na Khushi Ho Saki Apni; Tumhare Baad Adhoore Tamam Khawab Lage

Ab to hum tere liye ajnabi ho gaye,
Baato ke silsile bhi kam ho gaye,
Khushiyo se jyada hamare paas gam ho gaye,
Kiya pata ye waqt bura hai ya bure hum ho gaye…

Suna Hai Ishq Ka Shok Nahi Hai Tumhain
Magar Barbad Tum Kamal Ka Karty Ho

Marne Wale Marte Hain Lekin Fana Hote Nahin; Vo Haqeeqat Mein Kabhi Hum Se Juda Hote Nahin

Humne Manga Tha Saath Unka; Woh Judai Ka Gham De Gaye; Hum Unki Yaadon Ke Sahare Hi Jee Lete; Par Woh Bhool Jaane Kee Kasam De Gaye

Lamha Lamha Ye Waqt Guzar Jayega; Jane Kab Tu Mujhse Bichad Jayega; Jee Lene Do Mujhe Is Ek Pal Mein Zindagi; Ek Tujhse Bichad Kar Yeh Dil Mar Jayega

Judaa Kisi Se Kisi Ka Garaz Habib Na Ho; Yeh Daag Wo Hai Ki Dushman Ko Bhi Naseeb Na Ho

If I Ever Get A Chance To Dance With You I Would Play A Song That Would
Never End So I Can Hold You In My Arms Foreve

Jab Chote The Hum To Zor Se Rote The; Jo Pasand Hota Tha Use Paane Ke Liye; Aaj Bade Hain To Chupke Se Rote Hain; Jo Pasand Hai Use Bhulane Ke Liye

Pyaar Karte Hain Tumse Kitna Kabhi Dikha Na Sake; Tum Kya Ho Hamare Liye Yeh Kabhi Bata Na Sake; Kya Hu Jo Aaj Tum Sath Nahi Ho Fir Bhi; Tumhari Kisi Bhi Yaad Ko Hum Bhula Na Sake