Ek Ajnabi Se Mujhe Itna Pyaar Kyon Hai,Inkar Karne Par Chahat Ka Ikraar Kyon Hai…Use Pana Nahi Meri Taqdeer Mein Shayad,Phir Har Mod Pe Usi Ka Intezar Kyon Hai…

Batao Tum Mohabbat Ka Bhala Izhar Kya KarteTumhe Ruswaiyo Ka Darr Tha Tum Iqrar Kya KarteDilo Me Hausla Aur Na Mausam Hi Muwafiq ThaNadi Ke Tairne Wale Samander Paar Kya Karte

Sochte The Hum Mohabbat Masoom Hoti HaiEk Ehsaas Hai Jisese Zindagi Khushgawar Hoti HaiPar Ab Lagta Yeh Bas Ek Khel Hai Matlabi Duniya KaJiseme Zindagi Bewaqt Barbaad Hoti Hai

Bus Kahi Phir Mohabbat Na Ho Jaye Yuhi Ittifaq Se,Man Yu Dhundtha Hai Tumhe,Chupke Chupke Yaha Waha Idhar Udhar,Aur Tum Mil B Jati Ho Ise Kya Kahu Chalo Keh Deta Hu Ittifaq Se,

Raastay Khud Hi Tabahi K Nikalay HumnayKar Diya Dil Kisi Patthar K Hawalay HumnayHaan!! Hume Maalum Hai Kya Cheez Hai Mohabbat YaaroApna Hi Ghar Jala K Dekhay Hai Ujjalay Humne

Meri Jaan Ho Tum, Ye Tum Janate Ho,Is Liye Tum, Yaha Ahasas Dilate Ho ,Ki Hum Ji Nahi Sakate Tumhare Bina,Hum Apki Mohaubatt Ke SahareJite Rahenge Sadiyoo Tak ,Janmo, Janmo Tak

Mujh Say Bicher K Baynaam Ho Jao GaiSodagaron K Hathon Neelam Ho Jao GayMujh Ko Acha Nahin Lagta Tera Her Ek Say Milna,Her Aik Ko Mayas’sar Howay To Aa’am Ho Jao Gay

Iska Gham Nahi Ki Tu Meri Na Ho Saki,Meri Mohabbat Me Mera Sahara Na Ban Saki,Gham To Iska Bhi Nahi Ki Sukoon Dil Ka Lut Gaya,Gham To Iska Hai Ki Mohabbat Se Bharosa Hi Uth Gaya.

Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Sa Fasaana HaiKaagaz Ki Haveli Hai, Baarish Ka Zamaana HaiKya Shart-E-Mohabbat Hai, Kya Shart-E-Zamaana HaiAawaz Bhi Zakhmi Hai, Aur Geet Bhi Gaana Hai

Hamari Tamanna Thi Mahobbat Mein Ashiyan Banane Ki,Bana Chuke To Lag Gayi Nazar Zamane Ki,Usi Ka Karz Hai Jo Aaj Hain Aankhoo Mein Aasoon,Aashiyan Bana Ke Saza Mili Hai Muskurane Ki

Dil Apne Aap Dharakta Hai, Dharkaya Nahi JataYe Raaz-e-Mohabbat Har Ek Ko Bataya Nahi JataAgar Ehsaas Ho To, Mohabat Ko Kar Lo MehsoosYe Wo Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Nahi Jata

Na hoga yak bayaban mandagi se zauq kam merahubab-e-mauj-e-raftar hai, naqsh-e-qadam meramuhabbat thi chaman se, lekin ab ye bedimagi haike mauj-e-bu-e-gul se nak mein aata hai dam mera

Mohabbat Ka Matlab Intzaar Nahi HotaHar Kisi Ko Dekhna Pyar Nahi HotaYu To Milta Hai Roz Mohabbat-E-PaigamPyar Hai Zindgi Jo Har Baar Nahi Hota……!!

Na Raasta Sujhayi Deta HaiNa Manzil Dikhayi Deti HaiNa Lafz Zubaan Per Aate HaiNa Dharkan Sunayi Deti HaiEk Ajeeb Si Kaifiyat NeAan Ghera Hai MujheKe Har Surat MainTeri Surat Dikhayi Deti Hai

Haara Hun Main Mohabbat Ki Har Baji Har Imtihaan Ko;Kyun Nahi Milti Kamyabi Is Sansar Me Dil Ki Juban Ko;Mujhe Shikayat Nahi Hai Gairon Se Kabhi ;Jab Apno Ne Hi Diya Hai Mera Naam Har Iljaam Ko.