Kitna Anmol Rishta Hai Ye Muhabbat KaJis Mai Bikhra Hai Rang Chahat KaHar Sahaks Hai Muhabbat Mai Badla Badla SaKoi Kanch Ka Hai To Koi Pathar KaMuhabbat Ki Koi Manzil Nahi HotiYe Safar Hai Dil Se Dharkan KaMuhabbat Khuda Ko Bi Hai Apne Bando SeShaid Yehi Rastha Hai Janat Ka

Duaon Mein Kisi Ka Hr Ghari Hona Mohabat HaiKisi Ki Yad Ki Chaadar Talay Sona Mohabat HaiKabi Rangeen Ratton Mein Ashq Barsana Mohabat HaiKabi Bhoolay Huye Ka Lot Kr Ana Mohabat HaiKisi Ka Khoon Ban Kr Jism Mein Behna Mohabat HaiOr Is Jeevan Ka Sab Se Qeemti Gehna Mohabat Hai

Muhabbat Ab Nahi HogiSitaaray Jo Damakhtay HainKisi Ki Chashm-E-Hairaan MainMulaqaatain Jo Hoti HainJamaal-E-Aber-O-Baraaan MainYeh Na Aabaad Waqtoon MainDil-E-Naa Shaad Main HogiMuhabbat Ab Nahi HogiYeh Kuch Din Baad Main HogiGuzer Jayen Ge Jab Yeh DinYeh In Ki Yaad Main Hogi

Jab kabhi tera naam lete haindil se hum intaqam lete hainmeri barbadiyon ke afasanemere yaron ka naam lete hainbas yahi ek jurm hai apanahum muhabbat se kam lete hainhar qadam par gire par sikhakaise giraton ko tham lete hainhum bhatak kar junun ke rahon meinaql se intaqam lete hain

Khush rahe ya bahut udas rahezindagi tere aas pas rahechand in badaliyon se nikalegakoi aayega dil ko aas rahehum muhabbat ke phul hain shayadkoi kanta bhi aas pas rahemere sine mein is tarah bas jameri sanson mein teri bas raheaj hum sab ke sath khub hanseaur phir der tak udas rahe

Muhabbat Phool Hai Jana,Kaho To Phool Ban Jaoon,Tumhari Zindagi Ka Ek,Haseen Asool Ban Jaoon.Suna Hai Rait Pe Chal K,Tum Aksar Mehk Jatay Ho,Kaho To Ab K Bar Main,Zameen Ki Dhool Ban Jaoon.Buhut Nayab Hotay Hain,Jinhein Tum Apna Kehte Ho,Ijaazat Do Ki Main Bhi,Es Qadr Anmol Ban Jaoon

Tumhare bulane ko jee chahata haimuqaddar banane ko jee chahata haijo tum aao to sath khushiyan bhi aayenmera muskurane ko jee chahata haitumhari muhabbat mein khoyi hui huntumhen ye sunane ko jee chahata haiye jee chahata hai ki tumhari bhi sun lunkhud apni sunane ko jee chahata hai

Zindagi Itni Qeemti Nahin Jitna Mehboob HamaraKhuch Pal Ka Sath Nahin Jitna Pyar TumaraAankhon Main Itni Chamak Nahin Jitna Chahra TumaraMeray Bazoon Main Dam Nahin Jitna Seena Khushada TumaraItna Beyqrar Hote Nahin Jitna Yad Krta Dil TumaraYe Sab Such Lagta Nahin Jitna Khaloos Tumara

Beetay Dino KiWoh YaadeinWoh BaateinWoh Larna JhagarnaAur Phir MilnaSab Yaad AaigaJab Bhi Dhundogay Mujh KoNahi Mil Sakunga Kisi DarmiyaanTo Ehsas HogaKoi KhogayaAbhee To Yaheen Tha Kidher Reh GayaNigahein Dhundnay Se Qasir RaheingeeKami Doston Main Aksar RahegeeJab Bhi Mehfil Sajegee

Teri Muhabbat Ke KhatirDuniya Se Mooh Modi…Riste TodeAakir Ghar Chodi..Per Tumne Yeh Kiya Kiya?Muje Akela Choda,Kahi Dinon Se Na Kath Na Mulakath…Tumari Yadoon Se Roolaya,Din Aur Raat…Na Sukh Na Dukh Mein Diya Sath,Zindagi Ke Pehli Qadam Mein He…Chod Diya Mere Hath

Wo gazal valon ka uslub samajhate hongechand kahate hain kise khub samajhate hongeitni milati hai meri ghazlon se surat terilog tujh ko mera mahbub samajhate hongemain samajhata tha muhabbat ke zaban khushbu haiphul se log ise khub samajhate hongebhool kar apna zamana ye zamane waleaj ke pyar ko mayub samajhate honge

Sau bar chaman mahaka sau bar bahar aayiduniya ke wohi raunaq dil ke wohi tanhaihar dard-e-muhabbat se ulajha hai gam-e-hastikya kya hamen yaad aaya jab yaad teri aayidekhe hain bahut hum ne hangame muhabbat keaagaz bhi ruswai anjam bhi ruswaiye bazm-e-muhabbat hai is bazm-e-muhabbat meindivane bhi saudai farzane bhi saudai

Saqiya ik nazar jam se pahale pahalehum ko jana hai kaheen sham se pahale pahalekhush hua ae dil ke muhabbat to nibha di tunelog ujad jate hain anjam se pahale pahaleab tere zikr pe hum baat badal dete hainkitni ragabat thi tere naam se pahale pahalesamane umr padi hai shab-e-tanhai kewo mujhe chod gaya sham se pahale pahale

Muhabbat mein vafadari se bachiyejahan tak ho adakari se bachiyehar ek surat bhali lagti hai kuch dinlahu ke shobadakari se bachiyesharafat aadamiyat dard-mandibade shahron mein bimari se bachiyezaruri kya har ek mahafil mein aanataqalluf ke ravadari se bachiyebina pairon ke sar chalte nahi hainbuzurgon ke samajhadari se bachiye

Suraj ke har kiran teri surat pe var dundozakh ko chahata hun ki jannat pe var dunitni si hai tasalli ki hoga muqabaladil kya hai jan bhi apni qayamat pe var dunik khwab tha jo dekh liya neend mein kabhiik neend hai jo teri muhabbat pe var dun“adam” hasin neend milegi kahan mujhephir q na zindagani ko turbat pe var dun