Mohabbat Ham Ne Ki Jo Ek Khata HogaiKi Wafa Or Zindgi Saza HogaiWafa Karte Rahe Ham Ibadaton Ki TarhaPhr Ibadat Khud Ek Gunah HogaiKitna Suhana Tha Safar Jab Sath The HamPhr Kia Howa Q Manzil Juda HogaiKoi Chahat Koi Hasrat Koi Umeed Nhi RahiTu Gaya To Laga Dunya Fana HogaiYe Dua Ki K Jise Chahe Wohi Mile TujhePar Ye Dua Apne Liye Bad-Dua HogaiAbhi Kuch Dair Hoi Use Yaad Karte HuweYe Aaj Q Itni Jaldi Subha Hogai..

Kam ab koi na aayega bas ik dil ke sivaraste band hain sab kucha-e-qatil ke sivabais-e-rashq hai tanharavi-e-rahrau-e-shauqhamsafar koi nahi duri-e-manzil ke sivahum ne duniya ke har ik shai se uthaya dil kolekin ik shokh ke hangama-e-mahafil ke sivateg munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahidbegunah kon hai us shahar mein qatil ke sivajane kis rang se aayi hai gulshan mein baharkoi nagma hi nahi shor-e-silasil ke siva

Kam ab koi na aayega bas ik dil ke sivaraste band hain sab kucha-e-qatil ke sivabais-e-rashq hai tanharavi-e-rahrau-e-shauqhamsafar koi nahi duri-e-manzil ke sivahum ne duniya ke har ik shai se uthaya dil kolekin ik shokh ke hangama-e-mahafil ke sivateg munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahidbegunah kon hai us shahar mein qatil ke sivajane kis rang se aayi hai gulshan mein baharkoi nagma hi nahi shor-e-silasil ke siva

Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana HaiKagaz Ki Haveli Hai Baarish Ka Zamaana HaiKya Sharte Mohabbat Hai Kya Sharte Zamaana HaiAawaz Bhi Zakhmi Hai Aur Geet Bhi Gaana HaiUss Paar Uterne Ki Ummeed Bahot Kam HaiKashti Bhi Purani Hai Tufaan Ko Bhi Aana HaiSamjhe Ya Na Samjhe Wo Andaaz Mohabbat KeEk Shaks Ko Aakhon Se Dil Ka Sara Dard Sunana HaiBholi Si Ada Koie Phir Ishq Ki Zid Per HaiPhir Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jana Hai

Kab talak pyas ke sahara mein jhulasate jayenab ye badal jo uthe hain to barasate jayenkon batalaye tumhen kaise wo mausam hain ki jomujh se hi dur rahen mujh mein hi basate jayenhaye kya log ye aabad huye hain mujh meinpyar ke lafz likhen lahaje se dasate jayenaaina dekhun to ik chehare ke be-rang nuqushek nadidda-si zanjir mein kasate jayenjuz muhabbat kise aaya hai mayassar umeedaisa lamha ki jidhar sadiyon ke raste jayen

Tu kaheen bhi rahe sar pe tere ilzam to haitere hathon ke lakiron mein mera naam to haimujhko tu apna bana ya na bana teri khushitu zamane mein mere naam se badanam to haimere hisse mein koi jam na aaya na sahiteri mahafil mein mere naam koi sham to haidekh kar log mujhe naam tera lete hainis pe main khush hun muhabbat ka ye anjam to haiwo sitamagar hi sahi dekh ke usako “sabir”shukr is dil-e-bimar ko aaram to hai

Ye husn-e-raz muhabbat chupa raha hai koihai ashk aankhon mein aur muskura rha hai koinazar nazar mein tajalli dikha raha hai koinafaz nafaz pe mujhe yaad aa raha hai koitakhayulat ke dhoke hain sab shab-e-vadana aa raha hai koi aur na ja raha hai koiye husn-o-ishq ke tasvir ke hain do manzarki ro raha hai koi muskura raha hai koi“qadeer” hashr mein pahunche to hum ne kya dekhakisi ke hath se daman chuda raha hai koi

Jab se tune mujhe divana bana rakha haisang har shakhs ne hathon mein utha rakha haius ke dil par bhi kadi ishq mein guzri hoginaam jis ne bhi muhabbat ka saza rakha haipattharon aj mere sar pe baraste q homain ne tum ko bhi apana khuda rakha haiab mere did ke duniya bhi tamashai haitune kya mujhko muhabbat mein bana rakha haipija aiyam ke talkhi ko bhi hansake “nasir”gham ko sahane mein bhi kudarat ne maza rakha hai

Tum nagma-e-mah ho anjum ho tum soz-e-tamanna kya janotum dard-e-muhabbat kya samajho tum dil ka tadapana kya janosau bar agar tum ruth gaye hum tum ko mana hi lete theik bar agar hum ruth gaye tum hum ko manana kya janotakhrib-e-muhabbat aasan hai tamir-e-muhabbat mushkil haitum aag lagana sikh gaye tum aag bujhana kya janotum dur khade dekha hi kiye aur dubne vala dub gayasahil ko tum manzil samajhe tum lazzat-e-dariya kya jano

Tu mere sath chal na payegijab meri reh teri reh se milati hi nahiphir mera sath nibhane ke zarurat kya haiapni masum tamannaon ko rahabar na banakhwab phir khwab hain labon ke haqiqat kya haiye nai reh tujhe ras nahi aayegimain ne mana ki tujhe mujh se muhabbat hai magarmeri gurbat teri chahat ka sila kya degiapni maharumi-e-qismat se pareshan hun mainbebasi ashk-e-nadamat ke siva kya degiwaqt ke dhup mein har cheez jhulas jayegi

Chalo Ik Nazam Likhte Hain,Kisi Kay Naam Karte Hain,Magar Ye Sochna Hai Ab,K Us Main Zikar Kis Ka Ho?K Us Main Baat Kis Ki Ho?K Us Main Zaat Kis Ki Ho?Aur Ye Bhi Farz Karte Hain,K Jis Pe Nazm Likhte Hain,Humain Us Se Muhabbat Hai,Hamare Sary Jazbon Ko Bus Uski Zaroorat Hai,Chalo Ik Kaam Karte Hain,K Hum Jo Nazm Likhte Hain,“Tumharey Naam” Kerte Hain,Tum He Unwaan Ho Uska,Tumhara Zikar Hai Is Main,Tumhari Baat Hai Is Main.

Kachi divar hun thokar na lagana mujh koapni nazron mein basa kar na girna mujh kotum ko aankhon mein tasavvur ke tarah rakhta hundil mein dhadakan ke tarah tum bhi basana mujh kobaat karne mein jo mushkil ho tumhen mahafil meinmain samajh jaunga nazron se batana mujh kowada utana hi karo jitana nibha sakate hokhwab pura jo na ho wo na dikhana mujh koapne rishte ke nazakat ka bharam rakh lenamain to aashiq hun divana na banana mujh ko

Badalon ka kafila aata hua achcha lagapyas ke dharati ko har savan bada achcha lagaus bhari mehfil mein us ka chand lamhon ke liyemujh se milana bat karana dekhana achcha lagajin ka sach hona kisi surat se bhi mumkin na thaaisi aisi baten aksar sochana achcha lagawo to kya aata magar khushfahamiyon ke sath sathsari sari rat hum ko jagana achcha lagapahale pahale to nigahon mein koi jachata na tharafta rafta dusara phir tisara achcha laga

Humsafar Gum Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne,Yeh Bhi Mujhpar Bada Ehsaan Kiya Hai Tumne,Ek Muddat Se Isi Din Ki Thi Hasarat Dil Mein,Aaj Mein Khush Hu Ke Deewana Kaha Hai Tumne,Jab Bhi Takarayi Mere Jism Se Yeh Shokh Hava,Mujhko Mehasoos Hua Ke Chuaa Hai Tumne,Kya Mere Dil Ke Dhadakane Ki Hi Awaaz Hai Yeh,Ya Ke Phir Kaan Mein Kuch Aake Kaha Hai Tumne,Hichkiya Bhi Kabhi Kambhakt Nahi Aati Hai,Jo Yeh Sochoon Ke Mujhe Yaad Kiya Hai Tumne..!!

Na Wo Wafa Ki Devi Hai…Na Hai Wo Bewafayii Ki Murti….Kash Khud Ko Itna Bedard Na Banaya Hota …To Sayad Ushey Rok Pata….Kaheti Thi Ki Mere Pyaar Ki Umar Ho Itni Sanam ..Tere Naam Se Suroo Tere Naam Se Khataam…Per Naam Ka Fashla Na Badha Hota Itna …To Sayad Ushey Rok Pata…Khati Thi Baith Mere Pass Tujhey Dekhti Rahoon…..Kass Ushkey Rooh Me Utar Jata …To Sayad Ushey Rok Pata….