Chehra Mera Tha Nigaahein Uski,Khamoshi Mein Bhi Woh Baatein Uski,Mere Chehre Par Ghazal Likhti Gayi,Sher Kehti Hui Aankhein Uski,Shokh Lamho Ka Pata Dene Lagi,Tez Hoti Hui Saansein Uski,Aise Mousam Bhi Guzaare Humne,Subah Jab Apni Thi Shaam Uski,Dhayaan Mein Uske Yeh Aalam Tha Kabhi,Aankh Mehtaab Ki Yaadein Uski,Faisla Mouj-E-Hawa Ne Likha,Aandhiya Meri Bahaare Uski,Neend Is Soch Se Tooti Aksar,Kis Tarha Kat Ti Hai Raatein Uski,Door Reh Kar Bhi Sada Rehti Hai,Mujhko Thaame Hui Baahein Uski…!!!

Kuch Ajab Shaan Se Logon Mein Raha Karte The,Hum Khafa Reh Ke Bhi Aapas Mein Mila Karte The,Itni Tehzeib Rah-O-Rasm To Baaki Thi Ke Wo,Laakh Ranjish Sahi Wada To Wafa Karte The,Usne Poocha Tha Kai Baar Magar Kiya Kahiye,Hum Mizajann Hi Pareshaan Raha Karte The,Khatam Tha Hum Pe Mohabbat Ka Tamasha Gaya,Rooh Or Jism Ko Har Roz Juda Karte The,Zindagi Hum Se Tere Naaz Uthaye Na Gaye,Saans Lene Ki Faqat Rasm Ada Karte The,Hum Baras Padhte The Apni Hi Tanhai Par,Ab Ki Tarha Kisi Dar Se Utha Karte The…!!!

Meri Ankon Ke Smndar Men Jalan Kaisi HaiPhr Dilko Tarpne Ki Lagan Kaisi HaiBarf Ke Rup Men Dhal Jayege RisteyMujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai!Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi NahinAb Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi HaiMein Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne DoongaMausam-E-Hijar Ke Lehje Mein Thakan Kaisi HaiRegzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki RidaUs Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi HaiMujhe Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Ata HaiUsey Dekho To Muhabbat Mein Magan Kaisi Hai

Ye kah kar diye meri qismat mein naletumhari amanat tumhare havalebas itni hai duri ye manzil hai ye main hunkahan aake phute hain paon ke chalekarun aisa sajda wo ghabara ke kah denkhuda ke liye ab to sar ko utha lemariz-e-shab-e-gam ke sans aakhiri haicharag-e-sahar le raha hai sambhalekabhi mar bhi chuk ae mariz-e-muhabbatpareshan baithe hain ghar jane waleqayamat hain zalim ke nichi nigahenkhuda jane kya ho jo nazaren utha le“qamar main hun mukhtar tanzim-e-shab kahain mere hi bas mein andhere ujale

Ek Ajnabi Se Hamein MOHABBAT Hogayi HaiYe Zindagi Hamari Mukammal Hogayi HaiSochte Hain Wo Chehra Kaisa HogaJis Se Hamein CHAHAT Hogayi HaiJab Leti Hoon Naam,Ye Saansein Mehek Uthti HainAb Ye Saansein Bhi Meri Us Ki Hogayi HainUs Ka Yun Rooz Meri Neendon Mein Chale AanaMere Sapnon Ki Duniya Ab Roshan Hogayi HaiDhadak Uthta Hai Dil Jab Mehsoos Karti Hain AankheinAisa Lagta Hai Ye Dhadkan Bhi Us Ke Naam Hogayi HaiUsee Hi Sochte Sochte Guzarti Hai Ab Ye Ratein MeriMeri Ratein Bhi Ab Mere Sanam Ke Hawale Hogayi Hain

Tumhare Zehan Mein JanaaYe Kaise Aa Gayi SocheinKe Tumko Chod Dunga MainMohabat Tod Dunga MainNahi Shayad Pata TumkoKe Marzi Se Bhala JanaaMohabat Chhoot-Ti Kab HaiMohabat Toot-Ti Kab HaiAgar Na Ho Yaqeen Phir BhiToh Naqsh-E-Be Yaqeeni KoMitane Ke Liye JanaaMain Phir Iqraar Karta HunKe Meri Zaat Ko TumseFaqat Tumse Mohabat ThiFaqat Tumse Mohabat HaiMuhabat Ki Qasam MujhkoKe Jab Tak Saans Jaari HaiKe Jab Tak Dil Dhadakta HaiRagon Mein Khoon Chalta HaiMohabat Tumse Hi HogiMohabat Tum Se Hi HogiMohabat Tum Se Hi Hogi

Kabhi yun bhi to hodariya ka sahil hopure chand ke raat hoaur tum aaokabhi yun bhi to hopariyon ke mahafil hokoi tumhari baat hoaur tum aaokabhi yun bhi to hoye narm mulayam thandi havayenjab ghar se tumhare guzarentumhari khushbu churayenmere ghar le aayenkabhi yun bhi to hosuni har manzil hokoi na mere sath hoaur tum aaokabhi yun bhi to hoye badal aisa toot ke barasemere dil ke tarah milane kotumhara dil bhi tarasetum nikalo ghar sekabhi yun bhi to hotanahai ho, dil hobunden ho, barsat hoaur tum aaokabhi yun bhi to ho

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte RehnaBohut Aasaan Nahin Hota, Judai Mangte RehnaZara Sa Ishq Karlena, Zara Si Aankh Bhar LenaPhir Is K Baab Main Sari Khudaai Mangte RehnaKabhi Mehroom Honton Pe Dua Ka Hurf Rakh DenaKabhi Wehshat Main Us Ki Narsai Mangte RehnaWafaon K Tasalsul Se Mohabbat Roth Jati HaiKahani Main Zara Si Bewafai Mangte RehnaAjab Hai Wehshate Jan Bhi K Aadat Hogai Dil KoSakot-E-Sham-E-Gham Se Ham Nawaai Mangte RehnaKabhi Bache Ka Nannhe Hath Pe Titli K Per RakhnaKabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna

Bat karani mujhe mushkil kabhi aisi to na thijaisi ab hai teri mahafil kabhi aisi to na thile gaya chin ke q aj tera sabr-o-qararbeqarari tujhe ae dil kabhi aisi to na thichashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekinjaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thiun ke aankhon ne khuda jane kiya kya jaduke tabiyat meri mail kabhi aisi to na thiaks-e-rukh-e-yar ne kis se hai tujhe chamakayatab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thikya sabab tu jo bigadata hai “zafar” se har barkhu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi

Meri Sab Wafayein Tumhare LiyeMere Ehad-O-Paiam Tumhare LiyeMeri Sab Adayein Tumhare LiyeMeri Sab Jafayein Tumhare LiyeMeri Raaton Ki Neendein Tumhare LiyeMeri Ratjagein Bhi Tumhare LiyeDhadakta Hai Dil Ye Tumhare LiyeMeri Nass Nass Mein Chahat Tumhare LiyeMeri Saanson Ki Garmi Tumhare LiyeMere Honthon Ki Narmi Tumhare LiyeHai Phoolon Mein Khushbu Tumhare LiyeHai Taaron Ki Jhilmil Tumhare LiyeMeri Zindagi Ab Tumhare LiyeMeri Har Khushi Ab Tumhare LiyeTu Hai Bani Sirf Mere LiyeMain Hoon Bana Sirf Tumhare LiyeHaan!!!!! Sirf Tumhare Liye…

Honthon Pe Mohabbat K Fasaane Nahi Aate,Sahil Pe Samundar Ke Kinare Nahi Aate,Palkain Bhi Chamak Uthti Hai Soti Mein Hamari,Aankhon Ko Abhi Khawab Chhupane Nahi Aate,Dil Ujdi Hui Ek Saraaye Ki Tarha Hai,Ab Log Yaha Raat Jagane Nahi Aate,Yaaron Naye Mousam Ne Ye Ehsaan Kiya Hai,Ab Yaad Samjhe Dard Purane Nahi Aate,Udne Do Parindo Ko Abhi Shokh Hawa Mein,Phir Lout K Bachpan K Zamane Nahi Aate,IS Shehar K Badal Teri Zulfon Ki Tarha Hai,Ye Aag Lagate Hai Bujhane Nahi Aate,Tum Bhi Ghairo Ki Ada Seekh Gaye Ho,Aate Hai Magar Dil Ko Dukhane Nahi Aate..!!!

Aaina kyun na dun ke tamasha kahen jiseaisa kahan se laun ke tujhasa kahen jisehasarat ne la rakha teri bazm-e-khayal meinguladasta-e-nigah suveda kahen jisephunka hai kisane goshe muhabbat mein ae khudaafasun-e-intazar tamanna kahen jisesar par hujum-e-dard-e-garibi se daliyewo ek musht-e-khak ke sahara kahen jisehai chashm-e-tar mein hasarat-e-didar se nihanshauq-e-inan gusekhta dariya kahen jisedarakar hai shiguftan-e-gul haye aish kosubh-e-bahar panba-e-mina kahen jise“ghalib” bura na man jo vaiz bura kaheaisa bhi koi hai ke sab acha kahen jise

Teri Tasweer Meri Ankhon Main Basee Kyun Hai?.Jidhar Dekho Bas Udhar Tu Hi Kyun HaiTeri Yadoon Se Wabasta Meri Takdeer Hai Lekin,Tujhe Naa Paakar Meri Takdeer Roothi Kyun Hai...?Mujhko Hai Khabar Namumkin Hai Tujhe Haasil Karna,Phir Bhi Yeh Intezaar, Yeh Bekarari Kyun Hai?Barson Guzar Gaye Mere Tanhayee Mein Lekin,Meri Baahon Ko Aaj Bhi Tera Intezaar Kyun Hai?Teri Chaahat Ki Kasam Khoon Ke Aansoo Royaa HoonAb Nahin Hai Kuch Baakee ,Phir Yeh Jaan Baakee Kyun Hai?Khatam Hua Mera Yeh Afsaana, Ek Baat Batadoo Lekin,Anjaam Tha Malooom Mujhko Phir Yeh Mohabbat Kyun Hai?

Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum NeIk Shakhs Ko Rakha Tha Taron Ki Tarah Hum NeWo Shakhs Qayamat Tha Kaya Baat Karu Us KiIk Shakhs Ko Mana Tha Khushboo Ki Tarah Hum NeDin Us Ke Liye Payda The Thee Us K Liye RateinKab Milta Tha Wo Kisi Se Wo Bus Hum Hi Theen MulakateinIk Din Wo Shakhs Hum Ko Apno Ki Tarah BhoolaPhoolon Ki Tarah Bikhra. Taron Ki Tarah TootaPhir Tum Kiyun Yun Chonkey Ho?Kab Zikr Tumhara Hai?Kab Tum Se Khawahish Hai?Kab Tum Se Umeedein Hai?Kab Tum Se Tamanna Hai?Kab Tum Se Taqaza Hai?Ik Taaza Haqayat Hai Sun Lo To Inayat HaiIk Shakhs Ko Chaha Tha

Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaadab mujh ko nahi kuch bhi muhabbat ke siva yaadmain shikvabalab tha mujhe ye bhi na raha yaadshayad ke mere bhulanevale ne kiya yaadjab koi hasin hota hai sargarm-e-navazishus waqt wo kuch aur bhi aate hain siva yaadmuddat hui ik hadasa-e-ishq ko lekinab tak hai tere dil ke dhadakane ke sada yaadhan han tujhe kya kam mere shiddat-e-gam sehan han nahi mujh ko tere daman ke hawa yaadmain tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka thaq aa gai aise mein teri lagazish-e-pa yaadkya lutf ki main apana pata aap bataunkije koi bhuli hui khas apni ada yaad