Ab Aao Kaleje Se Lipatkar Mere So JaoBahar Kahan Jaoge Badi Sard Hawa Hai

Ab Toh Dar Lagne Lga Hai Mohabbat Se,Jbse Piya Hai Judai Ka Gham Ittifaq Se,

Kya Soch Ke Aaye Ho Mohabbat Ki Gali MeinJab Naaz Haseeno Ke Uthane Nahi Aate

Na Ho Khush Itna Aye “Tanveer”Zindagi To Hai Sirf Chand Lamho Ki.

Kabhi-Kabhi To Mohabbat Ka Ehtram* KaroVo Bewafa Hai To Fir Wafa Ki Chahat Kya

Udne Do Parindo Ko Abhi Shokh Hawa MeinFil Laut Ke Bachpan Ke Zamane Nahi Aate

Apne Bhi Gairon Ki Ada Seekh Gaye HainAate Hain Magar Dil Ko Dukhane Nahi Aate

Ek Ittfaq Sa Mere Dil Mein Yu Ghar Kar Gya,Jb Dekha Maine Tumhe Wahi Dobara Se,

Main Manta Hoon K MUNFARID Nahi Hoon MainMagar Koi To Baat Hai K Deewani Hui Wo

Hum Mohabat Main Bhi Toheed Ke Qail NiklayAik Hi Shakhas Ko Mahboob Banaye Rakha

Humare Vaaste Ye Char Din Ki Shohrat KyaVoh Mil Gaya To Kisi Aur Ki Jaroorat Kya

Main Apni Khak Uthakar Kahan-Kahan GhumoonTere Bagair Meri Zindagi Ki Keemat Kya

Khushbu Ki Tarah Aaya Vo Tez Hawaon MeinManga Tha Jise Humne Din-Raat Duaon Mein

Vo Chandni Ka Badan, Khushbuon Ka Saya HaiBahut Azeez Hume Hain, Magar Praya Hai

Dekha Tha Jise Maine Koi Aur Tha ShayadVo Kaun Hai Jis-se Teri Soorat Nahi Milti