Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon SeKhuda Kisi Ki Mohabbat Pe Muskuraya Hai

Tamaam Umar Mera Dum Isi Dhuyein Mein GhutaVo Ik Cheerag Tha Maine Use Bujhaya Hai

Kya Hua Jab Hue Na Shaamil Zindagi Me Aap KiKar Lenge Basar Bas Khwaboan Me Aap Ki

Wo Bole Mohabat Ka Sager Bahut Gehra HaHum Ne Kaha Dobne Wale Kabi Socha Nahi Karte.

Palkain Neend Se Bhojal Zaroor Hain Lakin.So Gaye Hum Tu Mehfil Ujarr Jaye Gi…

Dil Mein Na Ho Jurrat To Mohabbat Nahi MiltiKhairat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti

Ujale Apni Yaado Ke Humare Sath Rehne DoNa Jane Kis Gali Mein Zindagi Ke Sham Ho Jaye

Palkein Bhi Chamak Uth-ti Hain Sote Huye HumariAankho Ko Abhi Khwab Chupane Nahi Aate

Hanste Huye Chehron Se Hai Bazaar Ki Zeenat*Rone Ki Yahan Vaise Bhi Fursat Nahi Milti

Ae Shokh Ghazalo! Yahan Do Phool To Rakh DoIs Kabr Mein Khwabida Mohabbat Ka Khuda Hai

Voh Nahi To Koi To Hoga Kahi Uski TarehJism Mein Jab Tak Hrart Hai, Chalo Yoon Hi Sahi

Bhool This Apni Farishta Aadmi Mein DhundhnaAadmi Mein Aadmiyat Hai Chalo Yoon Hi Sahi

Hum Chand Sitaron Ki Rahon Ke Musafir HainHar Raat Chamakte Hain Andheri Khalaon* Mein

Kuch Log Yoon Hi Shehar Mein Humse Bhi Khafa HainHar Ek Se Apni Bhi Tabiyat Nahi Milti

Kuch Der Mein Saanso Ki Bhi Aahat Na MilegiDil Raat Ke Sannaate Mein Yoon Doob Raha Hai