Ye dil gehra samander hai Aur is mein ik jazera hai muhabbat nam hai jis ka Sitar’on ki tarha roshan, damakta, muskurata Khushbo’on rang’on mein doba Sarab’on ki tarha sey bhi hum is ko qaid ker nahi saktey hargiz Wo titli ki tarha sey ungli’on sey sard por’on ko Dhanak sa ker to deta hai Magar kuch dair mein khawaj=hish key sahil per pari Gili si,thandi sir ait jesa ban jata hai Hawa’on ki tarha sey hum bhi is ko cho to saktey hein Magar koi taluq der pa qaim kabhi nahi ker saktey Ye dil gehra samander hai Aur is mein ik jazera hai muhabbat nam hai jis ka

Yeh Bahtaa Khoon-E-Insaan Kah Rahaa Hai, Ruko Shaitaanou Kaheen Aisaa Na Ho, Taameer-E-Rab Khatrey Mein Parh Jaaye? Mileygaa Kyaa Tumhain, Ae Qaatilo, In Beygunaahoun Kaa Bahaa Kar Khoon, Ley Kar Jaan Khaatoonoun Ki, Bachchoun Ki? Bataaou Koun Saa Mazhab Hai, Jis Mein Farz Ho Yeh Sab? Zameen Hai Jannat-E-Insaan, Banaaou Mat Isey Dozakh Zaraa Socho, Yeh Harkat Kaayaraanaa Kar Rahey Ho Kyoun? Tumhain Uksaa Rahey Hain Jo, Wo Waarish Hain Yazeedoun Key Khudaa Kee Rahmatoun Sey Door, Dozakh Mein Girogey Jaa Musalmaan, Bouddh, Hindu, Sikh, Isaayee, Paarsee, Jainy Sabhi Martey Hain, Jab Bhi Tum, Bharhak Kar, Forhtey Ho Bam

Muhabbat mein muhaabbat ki safai de rahy hain hum Ajab aashiq hain, azar aashnai de rahy hain hum Hamary haal per jana’n boht khush fehm mat hona Dikhanay k liye aisay dikhai de rahay hain hum Koi tohfa tumhein dena to tha apni muhabbat ka Tumhain lo, aaj zakhm-e-aashnai de rahy hain hum Hamary rat-jago’n ka tum ko kuch ehsas to ho ga Dam-e-rukhsat, tumhein sham-e-judai de rahy hain hum Jinhain khoon-e-jigr se paish ro tehreer karty thy Ab in lafzo’n ko dil ki roshnai de rahy hain hum Hum itny shor mein sab se mukhatib bhi nahi ‘Sajid’ Jo sun sakty hain bus unko sunai de rahy hain hum. . !

Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai Tere Ehsaaso Ko Kaun Yaha Samajhta Hai Tu Kyun Kisipe U Marta Hai Har Koi Is Matlabi Duniya Me Jeeta Hai Khusi K Liye Kyun Har Pal Tarasta Hai Yaha Toh Gamh Hi Khubsurat Lagta Hai Armaano Ko Liye Kyun Machalta Hai Unko Adhura Rehte Dekh Jeeya Jalta Hai Tuth Kar Bhi Kyun Tu Sambhalta Hai Yaha Tuje Phir Bikharna Padhta Hai Bharosa Kyu Itna Karta Hai Yaha Har Ghadi Insan Chehra Badalta Hai Tu Kyun Jaan U Chidakta Hai Woh To Tera Katil Bana Phirta Hai Pagal Dil,Tu Kyun Nahi Samajhta Hai Teri Halat Dekh Har Koi Hasta Hai Tere Liye Kisika Nafrat Hi Acha Hai Yaha Toh Pyar Bhi Bahot Sasta Hai..

Paana bahut kuch chahta hoon magar Bas aaj khud ko kahin khone do Karne ko baatein hain bahut magar Bas aaj mujhe chup hone do Jhinjhod diya hai zindagi ne aaj itna Ye toofan shaant to hone do Apne hi jiwan ki raahon mein kaante Apne hi haathon fir bone do Fir se bachpan jeena hai mujhko Koi mere woh toote khilone do Toote hue khwabon ko sametoon to kaise Mujhe naye kuch swapan salone do Pyar to khud se bahut kiya hai Aj khud se nafrat bhi hone do Insaan thashayad, ye kya ban gaya Kuch der iska ehsaas to hone do Sapne dekhne hain fir se mujhe Kuch der ke liye bas sone do Jeena main bhi chahta hoon shayad Aaj magar mujhe rone do?

Bil-aakhir ye haseen manzar mita dena hi parta hai Kisi k sir ko shanay se hata dena hi parta hai Kisi dair aashna ko jhootay sachay kuch hawalo’n se Ta’aruf k liye sab se mila dena hi parta hai Jo sanso’n mein mehektay hain jo aankho’n mein damakty hain Achanak aik din un ko bhula dena hi parta hai Diye jo hum jalatay hain nihayat shauq se har shab Unhein khud apni phoonko’n se bhuja dena hi parta hai Koi jab poochta hai hum se, kaisa haal hai ‘Sajid’ Humain mohtaat ho kar muskra dena hi parta hai Chamak uthtey hain ‘Sajid’ jab sitaray us ki palko’n per Usey dil se laga kar hosla dena hi parta hai. . !

jo zakhm tu nay diye thay woh bhertay jatay hain charhay hoay thay jo dariya utartay jatay hain yeh ahel_e_shahr_e_wafa hain ajab bahar parust sarooo kay phool faseelo’n pay dhertay jatay hain nahi hai aur tu kuch bhi hamaray hatoo’n main siva_ye_arz_e_tamman na so kertay jata hain ajeeb loog hain , yeh ahel_e_intezaar kay jo khud apni aag main jul kar sa’nwertay jatay hain najanay kaun si basti kay hain yeh bashindey! nazar uthatey nahi aur guzertay jatay hain yeh aaj shaher pay utri hay kis bala ki raat charaagh apni lawoo’n say mukertay jatay hain darakht shaam ko lagtay hain shaher say amjad kay shaakh shaakh parinday utartay jatay hain.

Muhabbat mangny ki shae nahi jo maang li jaye Kisi ko kab kahan ye raas aai hai Ye hum se aaj kehty ho? Suno Janaa’n! Tumhain bhi yaad to ho ga? Yehi to ibtada mein hum bhi kehty thy Magar tum ne tou is ki khud nafi kar di thi pal bhar mein Kaha tha us gharri tum ne Muhabbat mangny se mil bhi jati hai Magar ye shart hai jo mangta ho dil se wo mangy Aur hum ne akhir tum ko ye daulat sonp di lekin Wafa tum kar nahi paaye Tum ab aaye ho barso’n baad Aur ye hum se kehty ho K hum tum ko bhula baithy Tumhary khat jala baithy Humain laazim tha ye, Ta umer baithy rasta taktay Gharri bhar ko nahi thaktay Baja kehty ho, such kehty ho, kab inkaar hai hum ko Suno hum thak gaye hongy. . !

Kitaab Si Lagti Hai Yeh Zindagaani Jinme Milengi Tumko Dhero Kahani, Kuch Ankahee Si Baaten,Jo Alfaz Banke Rehgaye, Aur Kuch Aise Khayalaat Jo Tufan Khadaa Kargaye Khuch Panno Me Khushi K Rang Bhar Diye Gaye, Kuch Be-Rang Hogaye Toh Kahi Rang Phike Padh Gaye Har Kahani Ki Ajab Si Hai Daastan, Hai Kahi Shuruwat Toh Kahi Khatam Hojate Hai Kaarwaa Ashko Se Mit Chuke Hai Kuch Nishan, Toh Kahi Daag Banke Reh Gayi Hai Galtiyan Mohabbat Bhi Hai Yaha Jawan, Toh Kahi Dard De Jati Hai Bewafaiyaa Kuch Panne Aandhiyo Me Gumh Hogaye, Toh Kuch Haalat Se Bebas Phaad Diye Gaye Kuch Armaano Ko Liye Intezr Me Takhti Rahi, Kuch Ro Roke Apno Ko Yaad Karti Rahi Kai Panne Bagaawat Pe Utar Aayi, Toh Kuch Maayus Hoke Kuch Na Keh Payi

Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai? Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai? Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai? Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai? Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai? Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai? Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai? Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’ Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?

Tum Bin Kya Hai Jeena Kya Hai Jeena Tum Bin Kya Hai Jeena Tum Bin Jiya Jaye Kaise Kaise Jiya Jaye Tum Bin Sadiyon Se Lambi Hai Ratein Sadiyon Se Lambe Huye Din Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai Phir Shamein Tanhaiiii Jagi Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho Phir Ja Niklne Lagi Hai Phir Mujhko Tadpa Rahe Ho Phir Mujhko Tadpa Rahe Ho Is Dil Main Yadon Ke Mele Hai Tum Bin Bahot Hum Akele Hai Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai Kya Kya Na Socha Tha Maine Kya Kya Na Sapne Sajaye Kya Kya Na Chaha Tha Dilne Kya Kya Na Arma Jagaye Kya Kya Na Arma Jagaye Is Dil Se Tufaa Gujarte Hai Tum Bin Na Jeete Na Marte Hai Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai Aa Jao Lautkar Tum Ye Dil Keh Raha Hai

Kabhi Jami Kabhi Aasman Samjh Main Nahi Aata Is Dil Ka Thikana Bhi Samjh Main Nahi Aata Meri Aankhein Uski Yaadon Ke Charag To Nahi Kyun Aaye Bus Wo Hi Nazer Samajh Main Nahi Aata. Chahe Anchahe Mai Use Yaad Kiya Karta Hun Ye Lat Hai Ya Aadat Samajh Main Nahi Aata. Kamabakhat Aashiqi Ne Jeena Haram Ker Diya Use Bhuloo Ya Apni Jaan Dun Samajh Mein Nahi Aata. Is Taraf Mera Gher Hai Us Taraf Uska Gher Idher Jaun Ya Udher Samajh Main Nahi Aata. Pagal Sa Banke Reh Gaya Kuchh Soch Sochker Pehle Hasun Ya Roun Samajh Mein Nahi Aata. Lifafa Fat Chuka Majmoon Bhi Kafi Purana Ho Gaya Use Dun Ya Khat Jala Dun Samajh Mein Nahi Aata. Uski Wafa Pe Ab Mujhe Shaq Hone Laga Hai Use Yaar Kahun Ya Gaddar Samajh Mein Nahi Aata. Raqeebon Ke Sath Baithe Hain Ajeej-O-Mohatrim Kaise Karun Salam Samajh Mein Anhi Aata. Samjhale Dil Ko Mastghan Kuchh Aur Na Samajh Phir Khud Samajh Jayega Jo Samajh Main Nahi Aata.

Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai Yuh to hai kayi fasle tere mere bich Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai Teri furkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai Mehsus ki hai berukhi teri baato mian kayi baar maine Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai KAMSIN ko akhir wo itna satata kyu hai Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai.

Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua Khoi Hai Kyon Har Khushi Kiski Lagi Bad-Dua Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua Khoi Hai Kyon Har Khushi Kiski Lagi Bad-Dua Kise Kise Jawab Do Bhuja Bhuja Yeh Dil Hai Kyon Kya Main Kahoon Bikhra Kyon Sapna Mera Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua Khoi Hai Kyon Har Khushi Kiski Lagi Bad-Dua Bheege Bheege Din Kali Raatein Aasoon Ke Jaise Barsatein Bheege Bheege Din Kali Raatein Aasoon Ke Jaise Barsatein Puche Mujhse Jo Dil Ki Baatein Kya Main Kahoon Dard Kyon Dil Ko Mila Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua Suna Suna Sa Hai Ab Yeh Mann Doobi Doobi Si Hai Ab Dhadkan Suna Suna Sa Hai Ab Yeh Mann Doobi Doobi Si Hai Ab Dhadkan Jaaon Kahan Ab Yahi Hai Uljhan Kya Main Kahoon Khoya Kyon Rasta Mera Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua Khoi Hai Kyon Har Khushi Kiski Lagi Bad-Dua Kise Kise Jawab Do Bhuja Bhuja Yeh Dil Hai Kyon Kya Main Kahoon Bikhra Kyon Sapna Mera Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua

Wo kehta tha! Tum aao sheher mera ghaur se, nazdeek se dekho Yahan k log aur un ki saqafat. . .aur Kisi ko paa k khonay ki haseen lazzat Yahan ka rehna, basna, bolna, hansna Muhabbat k anokhay roop In ki chaa’on in ki dhoop tum dekho! Yahan k jazbay boht sachay, boht achay boht masoom hoty hain Mery dil ne kaha aao samander choo k dekhaingy Wahan ja kar laga wo sheher mera hai Wahan sahil bhi mera us pe likhy khuwab mery hain Samander ki sabhi mauj’on pe mery aks thehery hain Wo saray log mery hain sabhi manoos chehray hain Wahab mitt, hawain, phool, pathar tak lagy apny Magar ik ajnabi c,daimi dil ko kasak is shakhs ne bakhsi jo aksar tang karti hai, jo mujh se jang krti hai Boht socha k aisa kyun hua, kaisy hua aakhir Tou dil ne holay holay se kaha ye sab to hona tha Tumhain us shakhs se milna, usey pana, khona tha Azal se is tarha hota chala aya Anokha bhaid hai is ko kisi ne kab, kahan paaya Bus itni baat tum ko yaad rakhni hai Tumhain us se muhabbat hai Laga chaar’on taraf fitrat pukaar uthi Tumhain us se muhabbat hai, Tumhain us se muhabbat hai Mery dil ne mery honton ne bhi iqraar ki manzil choo kar kah diya Yak Dam Mujhy Us se Muhabbat Hai MUJHY US SE MUHABBAT HAI. . !