Zara si dair december ki dhoop mein bethen, Yeh furstain humain shayed na agley saal milain..

khizaa k zard patton ka wo manzar yaad karta hai usay kehna usay december bohat yaad karta hai

Tumhare baad guzrein ge bhala kese hamare din, November se bachen ge to december maar daale ga..

December ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai, Aghaaz-e-shaam hi se yaadon ke baadal chaa gaye..

Teri yaade’n December ki shabo’n jaisi, Jo aati hain to janaa bhool jaati hain..…

Ab to barishon mein bhi us ko meri yad nahin ati Woh jo badal ke garajney se lipat jata tha mujhse..

December Main Kaha Tha Na K Wapis Laut Aao Ge, Abhi Tak Tum Nahi Lautay December Laut Aaya Hai…!!!

Mujhe ab farq nahin parta, december ke beet janey ka, Udaasi meri fitrat hai, isey mausam se kya matlab..

Phir iss sard mausam main, zara na chain se soyen ge, December phir se aaya hai, phir se mil ke royen ge..