Kabhi neendain kabhi ankhon may paani bhej dyta hai, wo khud aata nahi apni nashaani bhej dyta hai …

Kis qadar naadim hua hoon main bura keh kar usey, Kya khabar thi jate jate woh dua de jaye ga .. (naadim;feel guilty)

Mujhe Neend Ki Ijaazat Bhi Unki Yaadon Se Leni Parti Hai, Jo Khud Aaram Se Soye Hain Mujhe Karwaton Mein Chhor Kar..!!!

Pazi’raayi ke sab mausam isi uljhan mein guzrey hain, Kis ko bhool jana hai, Kis ko yaad rakhna hai.. (pazi’raayi; being appreciated, being on top)

Aag se seekh liya hum ne yeh qareena bhi, Bujh bhi jana per barri dair tak sulagte rehna, Jaane kis umar main jaaye gi yeh aadat apni, Roothna uss se aur auron se ulajhte rehna..

anjish he sehee dil may dukhanay k liyay aa, aa phir sy mujhay choor jaanay k liyay aa, kuch to meray pand-e-ray mohabat ka bharam rakh, tu b to kabhi mujh ko manany k liyay aa, pehly sy maraasam na sehee phir b kabhi to, rasmo waar-e-duniya he nibanay k liyay aa, kis kis ko batyen gay judai ka sabab hum, tu mujh sy haffa hai tu zamany k liyay aa, ab tak dil-e-khush faham tujh sy hain umadain, yea akhri shammay b bujhanay k liyay aa…