Na ghar bar na koi thikana khanabadosh hainapna kam hai chalte jana khanabadosh hainchand aur suraj sathi sadiyon sadiyon kedonon se rishta hai purana khanabadosh hainrang badalate mausam jaisi apni hasti haibarish va dhup se kya ghabarana khanabadosh hainapne liye hain donon barabar ae duniya valokya butakhana kya maikhana khanabadosh hainPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi

Khoon ban kar munasib nahi dil bahedil nahi manata kon dil se kaheteri duniya mein aaye bahut din rahesukh ye paya ki hum ne bahut dukh sahebulbulen gul ke aansu nahi chatatinun ko apne hi margub hain chahchaheaalamenaz’a mein sun raha hun main kyaye azizon ke chikhen hai ya qahqaheis naye husn ke bhi adayon pe hummar mitenge basharte ki zinda rahePoet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Hafeez Jullundhri

Hum Na Samjhe Sake The Baat Teri Itni Si Sheeshe Ke Khwab Tod Ti Hai Duniya Pathar Ki Arzoo Ki To Aaj Humne Yeh Guum Paaye Dil Ke Hue Tukde Tab Jaana Hai Duniya Pathar Ki Raha Saaya Mere Saath Par Na Mili Roshni Umeed Meri Tuti Taab Jaana Hai Duniya Pathar Ki Rishte Jodne Chale The Hum Pyar Ke Aakhe Hui Naam Tab Jaana Ki Hai Duniya Pathar Ki Hum Na Saamjh Sake The Teri Baat Itni Si Chot Khai Taabhi Yeh Jaana Ki Hai Duniya Pathar Ki

Uss Ko Kissi Aur Ke Saath, Dekh Kar Dil Jalta Hai,Uss Ki Rah Dekhti Rehti Hoon Din Bhar,Magar Wo Kisi Aur Raaste, Se Nikalta Hai,Dil Ko Samjhana Aasaan Nahi,Ki Har Shakhs Iss Duniya Mein Rang Badalta Hai.

Shaikh jee thodi si pikar aaiyemay hai kya shay phir hamen batalaiyeaap kyon hain sari duniya se khafaaap bhi dushman mere ban jaiyekya hai acha kya bura bandanavazaap samajhen to hamen samajhaiyejane dije aql ke baten janabdil ke suniye aur pite jaiyePoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sudarshan Faaki

Yun na reh reh kar hamen tarasaiyeaaiye, aa jaiye, aa jaiyephir wohi danista thokar khaiyephir meri aagosh mein gir jaiyemeri duniya muntazir hai aap keapni duniya chod kar aa jaiyeye hawa ‘sagar’ ye halki chandanijee mein aata hai yahin mar jaiye Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Nizami

Us ne jab tyori badal kar baat kemit gai duniya meri jazbat ketum ne shishe pe jhuk kar baat kewo uthi kali ghata barsat kedil ke dhadakan bad rahi hai har nafastez hai raftar paigamat ketum mere duniya meri uqba meriab kami mujh ko bhala kis baat kero diye hum dekh kar suefalakus ne hans kar jab kisi se baat kePoet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Poet Unknown

Kabe se butkade se kabhi bazmeyar seaavaz de raha hun tujhe har muqam senaashna hai aj wohi mere naam seduniya pukarati thi jinhen mere naam seuff ye shabefiraq ke maron ke bekhudikhud hi bujha diya hai charagon ko sham sedil mein fareb lab pe tabassum nazar mein pyarlute gaye ‘shamim’ bade ehatimam se Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri

muddat mein wo phir taza mulaqat ka aalamkhamosh adaon mein wo jazbat ka aalamALLAH re wo shiddatejazbat ka aalamkuch kah ke wo bhuli hui har baat ka aalamaariz se dhalakate hue shabanam ke wo qatreaankhon se jhalakata hua barsat ka aalamwo nazron hi nazron mein savalat ke duniyawo aankhon hi aankhon mein javabat ka aalamPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi

Tasvir banata hun tasvir nahi banatiek khwab sa dekha hai tabir nahi banatibedard muhabbat ka itna sa hai afasananazron se mili nazaren main ho gaya divanaab dil ke bahalane ke tadabir nahi banatidam bhar ke liye meri duniya mein chale aaotarasi hui aankhon ko phir shaql dikha jaomujhase to meri bigadi taqadir nahi banatiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khumar Barabankvi

mislekhayal aaye the aa kar chale gayeduniya hamari gham ke basa kar chale gayephoolon ke aas dil se lagaye hue the humkante wo raste mein bicha kar chale gayeaayi na thi hamare chaman mein bahar abhiwo khwab aashiyan mein laga kar chale gayebhule se bhi kabhi na dil hum bhula sakedil se hamen wo apne bhula kar chale gaye Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Fani Badayuni

Sau bar chaman mahaka sau bar bahar aayiduniya ke wohi raunaq dil ke wohi tanhaihar dardemuhabbat se ulajha hai gamehastikya kya hamen yaad aaya jab yaad teri aayidekhe hain bahut hum ne hangame muhabbat keaagaz bhi ruswai anjam bhi ruswaiye bazmemuhabbat hai is bazmemuhabbat meindivane bhi saudai farzane bhi saudaiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

Mujhey Deewana Sa Laghtey Hain Terey Sheher Ke LogMerey Daa An Se Ulajhtey Hain Terey Sheher Ke LogMain Gaya Waqt Hoon, Wapas Naheen Aaney WalaKiun Mera Raasta Taktey Hain Terey Sheher Ke LogJab Bhi Aata Hey Mera Naa Terey Naa Ke SaathMeri Qismat Pey Sulagtey Hain Terey Sheher Ke LogAur Kiyaa Doon Tujhey Ain Apni Wafaaon Ka SubootAb Merey Haal Pey Hanstey Hain Terey Sheher Ke Log

Is duniya mein sab hain akelekoi kisi ka nahikaisi mohabbat kasi vafayen kaise pyar ke sapaneaj khayalon mein bhi nahi hain sath jo the kal apnejhuthee hain sab jag ke melesaya bhi apana nahikagaz ke ek nanv hai jivan koi nahi hai manjhibich bhavar mein kon bana hai dubate man ka sathikahate hain maujon ke relekoi kinara nahi  Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sehba Akhta

Duniya jise kahate hain jadu ka khilona haimil jaye to matti hai kho jaye to sona haiacha sa koi mausam tanaha sa koi aalamhar waqt aa rona to bekar ka rona haibarsat ka badal to divana hai kya janekis rah se bachana hai kis chat ko bhigona haigham ho ki khushi donon kuch der ke sathi hainphir rasta hi rasta hai hansana hai na rona haiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli