Tumhain Jab Kabhi Milain Fursatein,Meray Dil Say Bojh Uttar DoMein Bohat Dinoon Say Uddas Hoon, Mujhe Koi Sham Udhar DoMujhay Apnay Roop Ki Dhoop Do K Chamak Sakin Meray KhalOKhadMujhe Apnay Rang Main Rang Do,Meray Sarey Zang Uttar DoKisi Aur Ko Maray Haal Say Gharz Hai Na Koi WastaMein Bikhar Gaya Hoon Samaite Lo,Mein Bigade Gaya Hoon Sanwar DoMaree Wehshatoon Ko Badha Deya Hai Judayoon K Azab NayMray Dil Pay Hath Rakhoo Zara Meree Dhadkano Ko Qarar DoTumhain Suba Kasee Lagee Kaho, Meree Khawahishoon K Dayar KiJo Bhalee Lagee To Yahin Rahoo,Issay Chahtoon Say Nikhar DoWahan Ghar Main Kon Hai Muntazer K Ho Fiqar Dair Sawair KiBade Mukhtaser Si Yeh Raat Hai,Issi Chandani Main Guzar DoKoi Baat Kerni Hai Chand Say, Kisi Shakhsar Ki Otte SayMujhay Rastay Main Yahin Kahin, Kisi Kanj Gul Main Uttar Do

Khwaabon Ki DekhBhaal Men Aankhen Ujar GayiiTanhaa`Iiyon Ki Dhuup Ne Chehraa Jalaa DiyaaLafzon Ke Jorne Men Ibaadat Bikhar ChaliiAa`Iine Dhuundne Men Ka`Ii Aks Kho GayeAaye Na Phir Wo Laut Ke Ik Baar Jo GayeWo Din, Wo Waqt,Rut Wo, Wo Mausam Wo Sar KhushiiAi GardishEHayaat, Ay RaftaarEMaahOSaal!Kyaa Jamm`A Is Zameen Pe Hogay Na Phir Kabhii?Jo Hamsafar Firaaq Ki DalDal Men Kho GayePatte Jo Gir Ke Per Se, Raston Men Kho GayeKyaa Phir Kabhi Na Laut Ke Aayegi Wo BahaarKyaa Phir Kabhi Na Aankh Men Utaregi Wo DhanakJis Ke VafoorERang SeJhalkii Hu`Ii Hawaa.. Kartii Hai Aaj TakIk Zulf Men Sajay Huve Phulon Kaa Intezaar!Lamhe ZameenEHijr Ke Phailay Kuchh Iss TarahRegERavaanEDasht Ki (Tamsheel ?Tamsheed?) Ho GayiiIss Dasht Par Saraab Men Bhatke Hain Iss QadarNaqshEQadam Thay Jitne Bhi, PaaMaal Ho GayeAb Tau Kahiin Pe Khatm Ho Rastaa Gumaan KaaSheeshe Men Dil Ke Saare Yaqeen Baal Ho GayeJis Waaqiye Ne Aankh Se Cheenii Thi Meri NeendUss Waaqiye Ko Ab Tau… Ka`Ii Saal Ho Gaye !!

Mirza Asad Ullah Khan GhalibYe Na Thi Hamari Qismat, K VisaalEYaar HotaAgar Aur Jeete Rehte, Yehi Intezaar HotaTere Waade Par Jeye Hum, To Ye Jaan Jhoot JanaK Khushi Say Mar Na Jaate, Agar Aitbaar HotaRugESung Say Tapakta, Wo Lahoo K Phir Na ThumtaJese Ghum Samajh Rahay Ho, Ye Agar Sharaar HotaKahoon Kiss Se Main Ke Kya Hai, ShabEGhum Buri Bala HaiMujhay Kya Bura Tha Marna, Agar Aik Baar HotaHuwe Mar K Hum Jo Rusva, Huwe Kyun Na GharqEDaryaNa Kabhi Janaza Uth’ta, Na Kahin Mazaar HotaYe MasailETasav’vuf, Ye Tera Bayan “Ghalib”Tujhay Hum Wali Samajhte, Jo Na Baada Khuwar HotaUrdu Version:یہ نہ تھی ہماری قسمت کہ وصالِ یار ہوتااگر اور جیتے رہتے ، یہی انتظار ہوتاکوئی میرے دل سے پوچھے ترے تیرِ نیم کش کویہ خلش کہاں سے ہوتی، جو جگر کے پار ہوتاغم اگر چہ جاں گسل ہے پہ کہاں بچیں کہ دل ہےغمِ عشق گر نہ ہوتا، غم روزگار ہوتامرزا اسد اللہ خان غالب

Kuch Tu Tanhai Ki Raaton Me Sahara Hota,Tum Na Hote Na Sahi ZikarTu Tumhara Hota,Zindagi Kitni Musarat Se Guzarti Yarab,Aish Ki Tarhan Gham Bhi Gawara Hota,Kis Ko Fursat Thi Zamane Ke Sitam Sehne Ki,Agar Na Is Shokh Ki Aankhon Ka Sahara Hota,Koi Humdard Zamane Mein Na PayaDil Ki Hasrat Rahi Koi Humara Hota Urdu Version: کچھ تو تنہائی کی راتوں میں سہارا ہوتاتم نہ ہوتے نہ سہی ، ذِکر تمہارا ہوتاوہ اگر آ نہ سکے موت ہی آئی ہوتیہجر میں کوئی تو غم خوار ہمارا ہوتازندگی کتنی مسرت سے گزرتی یاربعیش کی طرح اگر غم بھی گوارا ہوتاکس کو فرصت تھی زمانے کےستم سہنے کیگر نہ اُس شوخ کی آنکھوں کا اشارہ ہوتاکوئی ہمدرد زمانے میں نہ پایا اختردل کو حسرت ہی رہی کوئی ہمارا ہوتا(اختر شیرانی)Share By : Muhammad Saeed