Zulam o satam ki tairgi chat jae gi kanwal, Apne laho se jashan e charaghan karain ge hum.

Khushion ka waqt bhi kabhi aa hi jaye ga, Gham bhi to mil rahay hain tamanna kye baghair…

Purane sheher ke manzar nae lagane lage muj ko, Tere ane se kuch aisi fiza e sheher badali hai.

Zid na kar aye mere dil kaun tujhe poochey ga, Is ke koochey mein to mailaa sa bharaa lagta hai..

Chand Masoom Se Patton Ka Lahuu Hai Mohsin, Jis ko Mehboob ke Hatho’n Ki Hina Kehtay Hain ..!

Bachpan se aaj tak mein yeh seekhta raha hoon, Kaliyon se khil’khilaana, phoolon se muskuraana..

Kaash Kushyoon Ki Koi Dukan Hoti Mujhe Os Ki Koi Pehchaan Hoti Bhar Daite Tumhare Dil Ko Khusyoon Se Keemat Os Ki Chahe Meri Jaan Hoti

Tu Mera Sapna, Mera Armaan Hai Par.. Shayad Tu Apni Ahmiyat Se Anjaan Hai, Mujhse Kabhi bhi Ruth Mat Jana Aap, Q ki Meri Duniya Aap K Bina Viraan Hai..

phir aaj mujhy tmko itna hi btana hai hansna hi jivan hai hansty hi jana hai jivan ki rahon se khushyon ko churana hai kanton main ulajh kr bhi khushbo hi lutana hai hansna hi jivan hai hansty hi jana hai

Yeh Jeewan Dore Hai Ghar Mein Saal Girah Ka Shor Hai Kahi Salown Se Ata Hai? Shadi Ki Yeh Girah Dori Baar Math Aa Tanha? Aaj Wapas Layein Purani Yadein Dil Mein Kushiyaan Paida Kare? Tum Paas Hain To Nahi Per Door Se Sahi.

Mai Shayar Nahi Jo Shayari Likhu Dil Me Dard Nahi Jo Sabdo Me Likhu Nahi Pata Kaha Se Aate Hai Dard Nahi Pata Doosro Ke Dilo Ka Marj Woo Shayar Hi Nahi Jo Khusi Na De Sake Woo Shayari Hi Kya Jisme Khusi Na Mil Sake Gamo Ke Badal Tu Har Jagah Milege Dost Pyar Ki Barish Me Bheeg Kar Dekho Muskan Chere Pe Na Sahi Khusiyu Ko Tu Lete Dekho Khusiya Jindagi Me Na Sahi Khilkhila Ke Hasna Tu Sikho Mai Shayar Nahi Jo Shayari Likhu Dil Me Dard Nahi Jo Sabdo Me Likhu