Bus aik rat thehrna ha kia gila kijiye, Musafaron ko ghanimat ha ye sarae bahot.

Na zaat me koi manzil na kainat me hai, Safar karon to kahan mera koi jada nahin.

Teh ho saka na manzal e janan ka marhala, Me gamzan hon rah e muhabbat me aj bhi.

Ghar se hai Mandir badi door chalo yun kar len Ek rote hue bachhe ko hansaya jaye

Zara sambhal k ae yaran e taiz gam chalo, Bhatak gae sar e manzil bhi karwan aksar.

Teh kitni ho gaen hain isi dhon me manzalain, Apne sabak kharam ko jhalain kis tarah.

Najane kab ka pohanch bhi choka sar e manzil, Wo shakhs jis ka humen intazar rah me hai.

Jahan koi baichar jae wahen par us ki manzil hai, Kisi k sath chalne se musafat kam nahin hoti.