Apni Aadao Se Yun Churana,Pagal Banana Dewana Banana,Nazro Mein Rakhkar Palke Uthana,Apni Wafao Ka Aashiq Banana,Sambhalna Woh Daman Woh Paloo Bachana,Ajab Ishq Mein Hai Ye Dil Ko Lubhana,Milakar Nazar Se Nazar Dil Mein Rakh Kar,Aata Hai Khoob Aapko Dil Ko Churana,Rakhkar Wajood Mein Dil Se Ghuzar Kar,Roz Apne Haatho Se Dil Ko Jalana,Banna Sawarna Woh Khushboo Lagana,Phir Har Ek Insan Ki Nazar Mein Aana,Tadpana Hasana Rula Ke Jalana,Andaz Har Zamane Ka Mujhko Batana,Paree Bankar Mere Khawabo Mein Aana,Phir Raat Bhar Tere Baho Mein Lamhe Bitana,“Humari” Zindagi Mein Aakar Kar Do Ek Chirag Roshan,Ke Seh Nahi Sakta Ab Main Woh Ghuzra Zamana..!!!
Like (0)Dislike (0)
Agar Hum Kahe Aur Wo Mushkura De,Hum Unke Liye Zindgaani Luta De,Har Ek Mod Par Hum Gamo Ko Sazaa De,Chalo Zindagi Ko Mohabbat Bana De,Agar Khud Ko Bhoole To Kuch Bhi Na Bhoole,Ke Chaahat Mein Unki, Khuda Ko Bhula De,Kabhi Gam Ki Aandhi Jinhe Choo Na Paaye,Wafa Ke Hum Wo NasheMan Bana De,Qayaamat Ke Deewaane Kehte Hai Humse,Chalo Unke Chehre Se Parda Hata De,Saza De Sila De, Bana De Mita De,Magar Wo Koi Faisla To Suna De,Hai Ikhtiyaar Mein Tere To Mauj Sa Kar De,Wo Shakhs Mera Nahi Hai Usse Mera Kar De,Mere Khizan Kahin Kahtm Hi Nahi Hota,Zara Si Door Tak Rasta Hara Bhara Kar De,Main Uske Shor Ko Dekhoon Wo Mera Sab,Mujhe Charag Bana De Usse Hawa Kar De..!!!
Like (0)Dislike (0)
Kabhi Izhar Lafzo Ka Bhi Achcha Nahi Lagta,Kabhi Iqrar Jazbo Ka Bhi Achcha Nahi Lagta,Kabhi Larazte Honth Bhi Kai Raz Khol Dete Hai,Kabhi Dil Ki Dardkan Mein Tera Hi Naam Bajta Hai,Kabhi Kisi Takleef Mein Bhi Hum Khushiya Manate Hai,Kabhi Jo Yaad Aaye To Khushiyo Mein Bhi Aansoo Bahate Hai,Kabhi Har Pal Tumhe Soch Kar Muskarate Hai,Samne Aane Par Hum Chehra Chupate Hai,Kabhi Dil Yeh Chahta Hai Ke Tum Door Na Jao,Magar Jab Pas Aate Ho To Hum Door Jaate Hai,Kabhi Zara Si Baat Par Hum Tum Se Rooth Jaate Hai,Kabhi Dil Ki Khwahish Par Hum Tum Ko Manate Hai,Duniya Ke Har Mozoo Par Tumse Baat Rehti Hai Magar,Kabhi Aankho Mein Dekho To Hum Palke Jhukate Hai…!!!!
Like (0)Dislike (0)
Haq meri mohabbat ka ada kiy0n nhi karte tum dard haq meri mohabbat ka ada kiy0n nhi karte tum dard t0 dete h0 dawa kiy0n nhi karte kiy0n bethe h0 kham0sh si raah me mere aage na r0 mere marne ki dua kiy0n nhi karte tum dard t0 dete h0 dawa kiy0n nhi karte. ph00l0n ki tarha jism hai pathar ki ti tarah dil mere haseen l0g wafa kiy0n nhi karte. tum dard t0 dete h0 dawa kiy0n nhi karte aankh00n ki adaalat se bari kar t0 diya hai afs0s meri jaan reha kiy0n nhi karte. tum dard t0 dete h0 dawa kiy0n nhi karte haq meri mohabbat ka ada kiy0n nhi karte tum dard t0 dete h0 dawa kiy0n nhi karte. Share with us more Haq meri mohabbat ka ada lyrics in Comments Section below
Like (0)Dislike (0)
Ye barhami ki nazeiltifat ke badhum ko maut ka paigam hai hayat ke badye kufrodin ka fasana ye zikredairoharamaziz hai magar un ke tuvajjihat ke bad??? pe ashkealam dil mein pasezabtefuganjo hum hanse to bhi kitne takallufat ke badab aur hadase kya pesh aayenge ae dilhamari un ke muhabbat ke hadasat ke badhum ahalehijr ko lutfesahar nasib kahanyahan to raat hi aayi hamesha raat ke badkabhi karam hi karam tha aur ab sitam bhi nahitagaful aur phir itni tavajjuhat ke badbajuz tere koi mauzuezindagi hi nahiajeeb hal hai tarketa’alluqat ke badagar ho sidq to aasaniyan bhi hoti hain‘shamim’ rahemuhabbat ke mushkilat ke badPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri
Like (0)Dislike (0)
Har Kisi Yad Nay Har Raat Bhar Hay Jagaya Mujh KoKiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh KoDin Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain KabhiJanay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh KoDukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair SabhiJo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh KoJab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay KoGhar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh KoUoon To UmeedEWafa Tum Say Nahein Hay KoiPhir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh KoBewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay TanhaMaot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh KoWoh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha KabhiGham Ki Andhi Nay SarESham Bujhaya Mujh KoKaisay Bhoolon Ga Wohi Wasl Kay LamhayYad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko
Like (0)Dislike (0)
kamalezabt ko khud bhi to aazamaungimain apne hath se us ke dulhan sajaungisupurd kar ke use chandani ke hathonmain apne ghar ke andheron ko laut aaungibadan ke karb ko wo bhi samajh na payegamain dil mein roungi aankhon mein muskuraungiwo kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gayemain kis se ruth sakungi kise manaungiwo ik rishtaebenam bhi nahi lekinmain ab bhi us ke isharon pe sar jhukaungibicha diya tha gulabon ke sath apna vajudwo so ke uthe to khwabon ke rakh uthaungiab us ka fan to kisi aur se manasub huamain kis ke nazm akele mein gungunaungijavaz dhundh raha tha nai muhabbat kawo kah raha tha ke main us ko bhool jaungisama’aton mein ghane jangalon ke sansen hainmain ab kabhi teri aavaz sun na paungiPoet of The Poem / Ghazal or Nazam :Parveen Shaki
Like (0)Dislike (0)
Karen Hum Laakh Chahen Koshishen LekinMohabbat Ho Hi Jati HaiHamari Zindgi Jo Rasta Hai EkHamen Is Raah Per Chalte HoyeYe Mil Hi Jati HaiMohabbat Talkh Hoti HaiMagar Her Hal Main Hum KoMohabbat Ki Sabhi In Talkhioun Ko Jhelna Ho GaMohabbat Jis Ko Hoti HaiYe Khod Us Ko Huner Apna Sikhati HaiNahin Aisa K Ye Koi Hawa Ka Ek Jhonka HaiK Jo Deewar Se TakrayeAur Wapis Chala JayeeYa Phir Aanchal Ko Cho Ker Hi Guzar JayeeMohabbat Jis Kisi K Naam Hoti HaiHamesha Phir Usi K Naam Rehti HaiNahin Phir Chorti DamanAzal Se Abad Tak Saath Rehti HaiNibhana Perta Hai Is KoYe Hum Per Farz Hoti HaiChukana Perta Hai Is KoYe Hum Per Qarz Hoti HaiKaren Hum Laakh Chahe Koshishen LekinIgahen Jis Qadar Chahe Hum Jhuka Ker ChalenPhir B Kabhi Qadmon Ki Aahat PerKabhi Ik Muskurahat PerNazar To Uth Hi Jati HaiMohabbat Ho Hi Jati Hai
Like (0)Dislike (0)
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?Main To Bus Khamosh Sa Sha‘IrUlfat Chahat Ke Rango SeDil Ki Khali Tasveero MeKoi Mohabbat Likh Deta Hoon …Aur Kabhi Deewar Se LagkarKoi Mohabbat Ro Deta Hoon …Aur Kabhi Aankho Aankho MeinSaari Baatein Keh Jata Hoon ….Main To Ek Khamosh Sa Sha‘IrMujhko Baatein Kab Aati Hain ???Mujh Ko Baatein Gar Aati ToTum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???Mere Sapne Tod Kar Jaati ???Kiya Meri Aankho Mein Dukh KeItne Aansoo Dekh Sakti Thi ???Mera Kul Sarmaya Tha JoKiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???Mujh Ko Baatein Gar Aati ToMain Bhi Tumse Woh Sab KehtaJo Tum Sunne Ki Khwahish MeinSaare Raaste Bhool Aayi HoSaare Rishte Bhool Aayi HoMain Thera Khamosh Sa Sha‘IrMujh Ko Baatein Gar Aati ToTum Bhi Mere Khwab SajaatiYoon Na Tanha Chhor Kar JaatiKaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..
Like (0)Dislike (0)
Yeh Mohabbat HaiAzal Say Mohabat Mawara Alfazon Ki Mala Hy,Magar Yeh Haqeqat Hy,Mohbt Soch K Akash Pr Badal Ki Surat Main,Sada Parwaz Karti Hy,Kabhi BARISH Ki Bundon Main Simat Kr Dil Ki Dharti PrUtarti Hy’ Bikharti HyAda Lay Kar Saba Ki Yeh,Ghulabon Say Mehak Lay KrDhanak Rang Ly Kar Or Sitaron Say Chamak Ly Kr,Haseen Anchal Banati Hy,Usi Anchal Say Phir Khuwabon K Kachay Ghar Banati Hy,MOHABAT Azmati HyKabhi Shair Ban Kar Lafz Ki Hurmat Barhati Hy,Kabhi Saaz Ban Kr Dhiray Dhiray Gungunati Hy,SaraPa Ankh Ban Jati Hy Yeh Mehbob Ko Pa Kar,Anokha Lams Ban Jati Hy Yeh KoeEYaar Ja Kr,Na Jane Kon Sa Mantar Yeh Parh K Hole Hole Say,Kisi Ki Band Palkon Main Bina Dastak Diye YakDam,Utar K Ghar Banati HyMohabat Muskurati Hy…..!!Yeh Khusboo Hy Humesha Phool Ki Sanson Main Hoti Hy,Bana Day Chand, Yeh Tera Shab Ko Jo Yeh Aisa Moti Hy,Kasaak Hy Daaimi Is Main,Buhat Bay Naam Lazaat Hy,MOHABAT Ki Yehi Tareef Hy KYeh Mohabbat Hai
Like (0)Dislike (0)
hai bas ki har ik unake ishare mein nishan aurkarte hain muhabbat to guzarata hai guman aurya rab wo na samajhe hain na samajhenge meri batde aur dil unko jo na de mujhko zuban aurabaru se hai kya us nigah enaz ko paibandhai tir muqarrar magar usaki hai kaman aurtum shahar mein ho to hamen kya gham jab uthengele aayenge bazar se jakar dilojan aurhar chand subukdast hue butshikani meinhum hain to abhi rah mein hai sangegiran aurhai khunejigar josh mein dil khol ke rotahote kai jo didaekhunnabafishan aurmarata hun is aavaz pe har chand sar ud jayejallad ko lekin wo kahe jaye ki han aurlogon ko hai khurshidejahan tab ka dhokahar roz dikhata hun main ik dagenihan aurleta na agar dil tumhen deta koi dam chainkarta jo na marata koi din aahofugan aurpate nahi jab rah to chad jate hain nalerukati hai meri taba to hoti hai ravan aurhain aur bhi duniya mein sukhanavar bahut achekahate hain ki ‘ghalib’ ka hai andazebayan aurPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghali
Like (0)Dislike (0)
Mohabbat Zaat Hoti HaiWasi Shah Kii Ek Nazm Paish E Khidmat HaiMohabbat Zaat Hoti HaiMohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti HaiKoii Jangal Men Ja Thehrey Kisi Basti Men Bas JayeMohabbat Saath Hoti HaiMohabbat Khushboo Kii LeyMohabbat Mosamon Ka DhunMohabbat Aabsharon Key Nikhartey Paaniyon Ka ManMohabbat Jangalon Men Raqs Karti Morni Ka TanMohabbat Parhti Sardiyon Men Dhoop Banti HaiMohabbat Chalchalatey Garm Sehraaon Mem Thandi Chaaon Kii ManindMohabbat Ajnabi Duniya Men Apney Gaaon Kii ManindMohabbat DillMohabbat JaanMohabbat Moorti HaiAur Kabhee Jo Dill Ke Mandir Me Kaheen Par Toot Jai ToMohabbat Kaanch Kee GuriyaFizaaon Men Kisi Ke Haath Se Gar Choot Jai ToMohabbat Aabla Hai Karb KaAur Phoot Jai ToMohabbat Rog Hoti HaiMohabbat Soz Hoti HaiMohabbat Sog Hoti HaiMohabbat Shaam Hoti HaiMohabbat Raat Hoti HaiMohabbat Jhilmilati Aankh Men Barssat Hoti HaiMohabbat Neend Kii Rut Men Khuabon Key Raston Par Sulagtey Jaan Ko AateyRat Jagon Kii Ghaat Hoti HaiMohabbat Jeet Hoti HaiMohabbat Maat Hoti HaiMohabaat Zaat Hoti Hai
Like (0)Dislike (0)
Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay HainSab Jantay To HainKahNahi Roak SaktaySooraj Ki Kirnon Ko Chamknay SaySumandar Ki Lahron Ko Chalaknay SayPhoolon Ki Khusboo Ko Mahaknay SayChand Ki Chandni Ko Phailnay SaySaawan K Baadal Ko Barasnay SayPhir BhiNaakam Si Koshish Kartay HainSayed Wo Apnay Dil Ko Jhoti Tasali Dete HainKahMuhabat Ko Roak Lain GaySab Jantay To HainKahMuhabat Nahi Ruk SaktiZinda Jalanay SayPahray Laganay SayKhanjer Chalanay SayDeewaron Main Chunwanay SayDunia Say Mitanay SayHaan MagerRuk Bhi Sakti ThiAgerMuhabat Kisi Say Ki JatiMager Ye To Bus….Ho Jati HaiSab Jantay To HainKahAaj Tak Un K Roaknay SayNa Koi Ruka ThaNa Koi Ruka HaiNa Koi Rukay GaPhir BhiKyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay HainLoog To Dartay HainMuhabat Karnay Waloon SayAger Nahi Dartay ToChalo Aik Charat Lagatay HainKahSab Mil K Muhabat Ko Roak Lo GayTumhain Apni Taqat Pe Gharoor HaiTo Mujhay Bhi Apni Muhabat Pe Yakeen HaiMain Janta HonKahSab Mil Kar Bhi Nahi Roak Sako GaySab Jantay To HainLakinPhir BhiKyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain
Like (0)Dislike (0)
Zabanehind hai urdu to mathe ke shikan q haivatan mein bevatan q haimeri mazalum urdu teri sanson mein ghutan q haitera lahaja mahakata hai to lafzon mein thakan q haiagar tu phul hai to phul mein itni chubhan q haivatan mein bevatan q haiye nanak ke ye khusro ke daya shankar ke boli haiye divali ye baisakhi ye idulfitr holi haimagar ye dil ke dhadakan aj kal dil ke jalan q haivatan mein bevatan q haiye nazon se pali thi mir ke galib ke aangan meinjo suraj ban ke chamaki thi kabhi mahalon ke daman meinwo shahzadi zabanon ke yahan beanjuman q haivatan mein bevatan q haimuhabbat ka sabhi elan kar jate hain mahafil meinke is ke vaste jazba hai hamdardi ka har dil meinmagar haq mangane ke waqt ye beganapan q haivatan mein bevatan q haiye doshiza jo bazaron se ithalati guzarati thilabon ke nazuki jis ke gulabon si bikharati thijo tahazibon ke sar ke odhani thi ab kafan q haivatan mein bevatan q haimuhabbat ka agar dawa hai to is ko bachao tumjo wada kal kiya tha aj wo wada nibhao tumagar tum ram ho to phir ye ravan ka chalan q haivatan mein bevatan q hai Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Manzar Bhopali
Like (0)Dislike (0)
Ajab Din Thhey Mohabbat KeAjab Raatein Thhein Chaahat KiKabhi Gar Yaad Aa JaeinTo Palkon Per Sitaarey Jhilmilaatey HeinKissi Ki Yaad Mein,Raaton Ko Aksar Jaagna Maamool Thha ApnaKabhi Gar Neend Aajati!To Ham Ye Soch Letey Thhey!Abhi To Woh Hamaarey Waastey!Soyaa Nahi Ho Gaa!Abhi Royaa Nahi Ho Ga!To Phir Ham Jaagtey Thhey Aur Uus Ko Yaad Kertey Thhey!,Akeley Baith Ker Weeran Dil Abaad Kertey Thhey!Hmaarey Saamney Taaron Ki Jhhurmut Mein!Akela Chaand Hota Thha!Jo Uus Ke Husn Ke Aagey!Bohat Hi Maand Hota Thha!Jab Agley Roz Ham Miltey To!To Guzri Raat Ki Har BeKali Ka Zikar Kertey Thhey!Har Ik Qissa Suunatey Thhey!Kahan Kis Baat Pe Dil Dharka Batatey Thhey!Mein Jab Kehta !Ke Jaanan Raat Ko!Roshan Sitaaron Mein!Tumhaara Naam Daikha Thha!To ‘Woh’ Kehti!Razi Tum Jhoot Kehtey Ho!Sitaarey Mein Ne Daikhey Thhey!Aur Uun Roshan Sitaaron Mein!Tumhaara Naam Likhha Thha!!!!Ajab ‘Masoom’ Larki Thhi!Mujhe Kehti Thhi Lagta Hai!Ke Ab Apney Sitaarey!Mil Hi Jaaein Gai!Magar Uuss Ko Khabar Kia Thhi!Kinaarey Mil Nahi Saktey!Mohabbat Ki Kahaani Mein,Mohabbat Kerney Walon Ke,‘Sitaarey’ Mil Nahi Saktey
Like (0)Dislike (0)