Musafir Hu Mai,Bas Chalna Hu Janta,Kabhii Is Shehar, Kabhi Us Shehar,Bas Manzil K Nishan Bhapta!Kahi Khudse Bate Karta,Kabhi Oro K Dekhkar Sochta,Jo Raste Me Milte Hai,Unse Mera Kya Wasta!Mai Nadi Ki Lehar Hu,Kabhi Is Chor, Kabhi Us Chor,Jaha Milta Ho Samunder,Mujhe Chalna Hai Usi Ore!Mai Panchi Hu Azad,Pankh Fehraye Udjata Hu,Is Desh Kabhi Us Desh,Mai Apni Pyas Mitata Hu!Mai Kavi Ki Kalpana,Jo Uthao To Uth Jata Hu,Jo Girao To Gir Jata Hu,Jab Bhi Chaho Naya Sawera,Mai Andhakar Me Kho Jata Hu!

Musafir Tu Bikhar Tey HeinRafaqat Kab Badalti HeyMuhabbat Zinda Rehti HeyMuahabbat Kab Badalti HeyTumhi Ko Chahtey HeinTumhi Ko Piyaar Kartey HeinYehi Barson Ki Adat Hey HumariAur Adat Kab Badalti HeyKali Ka Phool BannaAur Ban K Bikhar JanaMuqaddar HeyJo Pathar Pey Likhi Jaye EbaratKab Badalti HeyJo Dil Mein Naqash Kar JayeAur Ankhoon Mein Utar JayeAlamat Hey Yeh Chahat KiAur Chahat Kab Badalti HeyPoraney Zakhmon Ko Bhula Daina Hi Acha HeyNa Chahey Ap Hi KoiTu Qismat Kab Badalti HeySamajh Mein I?

Doorion Ka Sabab Shayad Barhtay Huway Faaslay ThayMohabbat Nay Sehra Paar Kiya Garchay Paaon Mein Ablay ThayBay Niazi, Bay Aitana’iee Kyoon Barh Gayee Hai AakhirKabhi Hum Bhee Thay Shanasa Kabhi Hum Bhee Tum Say Milay ThayMusafir Kyoon Yeklakht Bay Chain Ho Gayay HainBhais Badal Kar Rahzan Shayad Qaaflay Say Aa Milay ThayManzil Ki Doori Nay Bhee Thakan Safar Ki Barha DiYoon Bhee Teri Talash Men Hum Zindagi Bhar Chalay ThayAap Hi Nay Dair Kardi Aanay Men ShaayadWarna Dareechay To “Humtum” Kay Yunhi Sada Khulay Thay

Betha Tha Neem Ki Chaaoun Main Ek ShaamEk Pari Aayee Aur Kaha Kay Aarzoo Kya HaiKaha Kay Aankh Num Hai Dil Jall Raha HaiBas! Ek Meethi Si KhushboEHina HaiKehti Hai `MUSAFIR` Yeh Khushbo Kya HaiKaha Kay Pagli! Sirf Ek Khayal Hai BasMasoom Lafzoon Main Chupi Ek Tasweer Ayaan HaiPoochti Hai Musafir! Yeh Jadoo Kiya HaiKaha Kay Har Nazar Na Aanay Waali Cheez Jadoo HaiMasoom! Poochti Hai Tumhain Aakhir Justujoo Kya HaiKaha Kay Usay Pana Meri Khwahish Nahin,Usay Mehsoos Karna Meri Justujoo HaiAb Tum Bhi Lout Jaao PariSooraj Bhi Ghar Ko Chal Diya Hai..

Ham Tere Shahar May Aye Hain Musafir Ki TarahSirf Ek Bar Mulaqat Ka Mauqa De DeMeri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai KahanSubah Tak Tujh Se Bicharakar Mujhe Jana Hai KahanSochane Ke Liye Ek Rat Ka Mauqa De DeApani Ankhon May Chupa Rakhen Hain Juganu Main NeApani Palakon Pe Saja Rakhe Hain Ansu Main NeMeri Ankhon Ko Bhi Barasat Ka Mauqa De DeAj Ki Rat Mera Dard E Muhabbat Sun LeKanp Kanpate Huye Honthon Ki Shikayat Sun LeAj Izhar E Khayalat Ka Mauqa De DeBhulana Tha To Ye Iqarar Kiya Hi Kyun ThaBewafa Tune Mujhe Pyar Kiya Hi Kyun ThaSirf Do Char Sawalat Ka Mauqa De De

Tum Meri Kashti Ke Musafir NahiTumhe Jaana Kahi Aur HaiMain Tanha Hu Es Safar MeMujhe Manzil Ki Talaash HaiMera Jism Zakhmo Se Hai ChalniMeri Ruh Ka Bhi Pata NahiIn Viraniyo Ke Aalam MeMujhe Manzil Ki Talaash HaiMaine Joda Tha Ek KarvaanEk Ek Kar Sab Bichad GayeBas Mujhi Ko Manzil Na MiliMujhe Manzil Ki Talaash HaiMaine Pyar Unse Kiya BohotPar Hath Me Aaya Kuch NahiBewafao Ki Is Basti MeinMujhe Manzil Ki Talaash HaiAankho Mein Ab Neend NahiAansu Bhi Hai Sukh ChukeKoi Raasta Dikha Do Mujh KoMujhe Manzil Ki Talaash HaiWo Gaya Yuh To Dur HaiPar Aayega Ek Din ZarurKamsin Ab Ke Use Keh DenaMujhe Manzil Ki Talaash HaiYuh Raah Me Na Choda KareRaasta Bohot Kathin HaiWaqt Aur Na Barbaad KareMujhe Manzil Ki Talaash Hai

Toot Kar Chaaha Tha Jise Wohi Dhoka De Jayega…Bina Kashti Ke Musafir Bata Kaise Sahil Tak Aayega…Sookhe Patton Ki Tarah Yun Bikhar Jayegi Zindagi Apni…Socha Na Tha Yeh Waqt Hamain Is Mod Par Bhi Layega…Maine Chand Ki Tamana Mein, Ginwa Diye Taare Bhi…Is Oonchi Udan Mein Kahan Maloom Tha Ke Kafila Hi Choot Jayega…Apni Hi Lagai Aag Mein Apna Hi Wajood Jal Jayega…Kis Ko Khabar Thi Aisa Waqt Bhi Hum Par Ayega…Jab Raigistan Ki Rait Hi Apna Mukadar Thi To…Kyon Socha Humne Ki Hamain Woh Mil Jayega…Apne Hi Banaye Jaal Mein Shikari Khud Hi Qaid Ho Jayega…Koi Kya Yon Bhi Bhala Apna Mukadar Likhwayega…Zindagi Tapti Dhoop Ke Tale Yun Hi Chali Ja Rahi Hai…Kya Ab Koi Laash Uthane Bhi Nahi Ayega…

Hoga Musafir Jo Jahan Me AayegaSafar Ka Jahan Muqaam Chor Jayega…..Iss Safar Me Hote Hain Sath Musafir BohutKoi Kisi Ke Sath Naa Aaya Jayega…..Jayenge Yeh Doulat Yahan Chor Kar SaareJism Ko Sirf Do Gazz Kafan Pehnaya Jayega….Sajaya Nahi Jayega Phir Heere Motiyoun SeZyada Se Zyada HaarEGul Pehnaya Jayega…Ek Hi Baat Hai Sachi Har DammRuhh Ka Sath Toh Rabb Hi Nibhayega…..  kis rah nikal jaon kuch kah nahi sakta be_naam meri manzil be_naam thikana haykis dar pay main ruk jaon. kuch keh nahi saktaiss paar to roshan hay sara mera rasta us paar andhera ho kuch keh nahi sakta tinkay ki tarah main bhi beh jaon samandar main mil jaye ga kinara kuch keh nahi sakta mil jaye gi tabeer mery khawaboon ki aik dinya khawab bikhar jayen kuch keh nahi sakta Share with us more Musafir shayari urdu in Comments Section below.