Desh Bhakti, Ek Dujey Ke Liye Pyar Abb Yahan Harr Dil Mein HainDekh Lenge Jorr Jitna Bazuein Katil Mein HainDevta Tum Jitne Bomb Se UdaouMita Na Sakogey Aaastha Jo Dil Mein HainBal, Budhi Aur Vidhya Hai Kann Kann MeinJosh Abb Hamarey Bhi Dil Mein Hain!!!Bhakti Aaur Adbhut Shakti Bass Yehi Hamari Mehfil Mein HaiDekhna Hai Jorr Kitna Bazuein Katil Mein Hain

Main Desh Ki Khatir Apni Jaan Gawau Kyun?Marne Ko Jai Bharat Main Chillau Kyun?Jisse Khud Ka Tan Ho Ghayal,Main Aise Bhi Teer Chalaun Kyun?Jab Badan Numaesh Hai Faishon,To Ghar Mein Parde Latkau Kyun?En Bhukho Nango Ki Duniya Mein,Mein Bhi Vikshit Kahlau Kyun?Jab Izzat Hi Lute Maa Bahino Ki,Uss Dharti Ke Gunn Gau Kyun?HUMRAAH Mare Jinse Lakhon,Phir Aise Aslaah Banu Kyun??

Kyun Aaj Mein Dukhi Hun,Mujhe Gham Kiska Sata Raha Hai.Uss Mor Par Jo Andhra Chaya Hai,Kyun Mujhe Woh Daraa Raha HaiKyun Unchayiyana Mere Mulk Ki,Mujhe Khokhli Dikhai De Rahi Hain,Kyun Woh Jo Gehra Ander Sama Raha HaiWoh Hai Meri Zami Ka DilJo Aaj Dukh Mana Raha Hai,Noch Rahe Hai Zamane Wale,Har Ek Apna Jeevan Sawar Raha HaiMere Mulk Ka Kya Hoga Ae Jan..Mera Bharat Dukhi Hai , Dukh Mana Raha Hai.

Kyun Aaj Mein Dukhi Hun,Mujhe Gham Kiska Sata Raha Hai.Uss Mor Par Jo Andhra Chaya Hai,Kyun Mujhe Woh Daraa Raha HaiKyun Unchayiyana Mere Mulk Ki,Mujhe Khokhli Dikhai De Rahi Hain,Kyun Woh Jo Gehra Ander Sama Raha HaiWoh Hai Meri Zami Ka DilJo Aaj Dukh Mana Raha Hai,Noch Rahe Hai Zamane Wale,Har Ek Apna Jeevan Sawar Raha HaiMere Mulk Ka Kya Hoga Ae Jan..Mera Bharat Dukhi Hai , Dukh Mana Raha Hai.

Bahut Khel Chuke Khel Dushmani KaAb Dosti Ka Khel Khelte HainKya De Sake Hain Siva Dahshat Ke HumChalo Chain Aman Ki Raah Ab Chalte HainKhade Honge Jab Hum Tum Saath SaathFir Dekho Dushmanon Ke Dil Kaise Jalte HainTod Do Sarhado Ke Daayre Ab TumDushmani Ko Chalo Pairon Tale Masalte HainBanayenge Milkar Ek Haseen Jahan HumPaak Muhabat Se Chalo Gale Milte HainJaha Na Ho BhedBhaav Ki BaahvnaLe Chalo Sabko Aisi Dagar Chalte Hain

Ufaq Se Koi Awaaz AayiTere Desh Men Badi Tabdeeli AayiJahan Aata Chawal Naapaid HuaAur Bhook Ne Li Hai AngdaiGhareeb Khata Tha Aadhi RotiAb Woh Bhi Usse ChinwaiManhgai Hans Hans Kar DoleAate Ki Qeemat Aasman Se TakraiKoi Game Khaile Hai Adliya KiTo Koi Hukumat Ke Jod Tod KiAwaam Ko Yeh Sab Nahin ChahiyeDo Waqt Ki Roti Ko Woh Hai RotiSab Ne Aankhen Hain Band KiKaanon Men Hamare Rooi Hai PadiDekh Kar Bhi Andhe KahlayenHum Awaam Ki Hai Yeh Behissi

Ek Tuutii Huii Zanjiir Kii Fariyaad Hain HamAur Duniyaa Ye Samajhatii Hai Ke Aazaad Hain HamKyon Hamen Log Samajhate Hain Yahaan ParadesiiIk Muddat Se Isii Shahar Men Aabaad Hain HamKaahe Kaa TarkEVatan Kaahe Kii Hijaarat BaabaaIsii Dhartii Kii Isii Desh Kii Aulaad Hain HamHam Bhii TaamiirEVatan Men Hain Baraabar Ke ShariikDarODiivaar Agar Tum Ho To Buniyaad Hain HamHam Ko Is DaurETaraqqii Ne Diyaa Kyaa “Meraj”Kal Bhii Barbaad The Aur Aaj Bhii Barbaad Hain Ham

Chadhte Suraj Ko, Salaamii Sab Ki Milti HainGardish Men Ho Taare, Koii Paani Nahii DetaaJawaan Jismon Ki Raahon Men Sabhii Palken Bichaate HainKoii Bebas Budhaape Ko, Sahaara Kyon Nahii DetaaDaulat Ke Dhaagon Se Bandhe Hain Ab To Sab RisteMuflis Kii Mayyat Ko, Koii Kandha Nahii DetaaNaa Kar Insaaf Kii Baaten,Yahan Mujrim Hii Munsif HaiBaapu Or Bhagat Singh Ko Koii Jiine Nahii DetaaApne Nayan Kaa “Neer” Hii Piitaa Rahaa Hun MainMay^kadon Men Ab, Koii Piine Nahii Detaa

Ki Ab To Desh Mera Praya Sa Lagta HaiThi Bazuon Me Jiski TakkatVo Ab Murjhaya Sa Lagta HaiHosle Hum Me Bhi HaiHosle Tum Me Bhi HaiTo Kyu Pak Ka Is Zamin Pe Saya Ab Tak Milta HaiMila Lo Ab To Dost Hathon Se HathKi Ab To Apna Hi Khoon Dil Jalata HaiPoochti Hai Vatan Ki Mitti Tanhaion MeKi Kyu Tujhe Zamin Par Khof Ka Saya Lagta HaiYa To Tu Nahi Kabil Kisi Mitti KYa Tu Apni Hi Maut Ka Marra Lagta HaiKasmir Ki Vo Baat Karte HaiJo Taz Humara HaiKi Khoon Ki Holi Khelo Chahe Ya Bano Gandhi K BandarHume To Apna Vatan Sambhalna HaiTum Ho Ya Na Ho To Bhi KyaMitti Se Paida HueHume Mitti Me Mil Janna Hai.

Nikle Hai Veer Jiya Le Yun Apna Seena TaaneHas Has Ke Jaan Loota Ne Azad Savera LaaneMarke Kaise Jeete Hai Is Duniya Ko BatlanaTere Lal Chale Hai Maiye Ab Teri Laaj BachaneMarke Kaise Jeete Hai Is Duniya Ko BatlanaTere Lal Chale Hai Maiye Ab Teri Laaj BachaneAzadi Ka Shola Banke Khoon Rago Mein DolaDin Aaj Ka Bada Suhana Mausam Bhi Bada SunehraHum Sar Pe Bhand Ke Aaye Balidano Ka Yeh SaehraBetaab Hamare Dil Mein Ek Masti Si Chaayi HaiAaye Desh Alvida Tujhko Kehne Ki Gadi Aayi HaiMehke Gaye Teri Fiza Mein Hum Banke Hawa Ka JhokaKismat Walo Ko Milta Aise Marne Ka MaukaNikli Hai Barat Saja Hai In Gulab Ka Dola

बारिशोँ को तो फिर भी धरती कीबाहोँ का सहारा मिल जाता है मगरउनका क्या जिनकी हर आस अधूरीरह जाये हर प्यास अधूरी रह जाये।

Haathon Mein HaathHaathon Mein Haath Liyay, Chalay Yonhi KarwanApni Zameen Hai, Apna Hai AasmanAaein Gay Ghum, Aayay Gi KhushiManzil Chahay, Mushkil SaheeAagay BarhooHaathon Mein Haath Liyay, Chalay Yonhi KarwanApni Zameen Hai, Apna Hai AasmanAangan Aanagan Khushiyan ManaeinApni Zameen Ko Milke SajaeinYehi Hai DuaHaathon Mein Haath Liyay, Chalay Yonhi KarwanApni Zameen Hai, Apna Hai AasmanWada Karo, Saath ChalainIrada Karo, Saath JeeainYunhi SadaHaathon Mein Haath Liyay, Chalay Yonhi KarwanApni Zameen Hai, Apna Hai AasmanVeeran Rahain, Raushan BanaeinBhatkay Huoon Ko, Rasta DikhaeinJeenay KaHaathon Mein Haath Liyay, Chalay Yonhi KarwanApni Zameen Hai, Apna Hai Aasman

Kashmir LahoIk Khwab Ki Hay Tabeer LahoSifaak Adad,Shamsheer LahuWadi Ki Fiza Dil Geer LahuHar Ban Pe Hai Zanjeer LahuWadi Ki Fighaa Shab Geer LahuAur Subah Ki Hai Tanveer LahuKyon Dharti Ki Hai Tasveer LahuMuslim Ki Kyon Jageer LahuAaa Dekh, Hain Ranjhe Heer LahuHar Ghaat Pe Hai Nakhcheer LahuHar Simt Hai Daar O Geet LahuZaalim Ki Har Ek Tadbeer LahuPewast Ba Seena Teer LahuTuflaa Keliye Hai Sheer LahuHontoon Pe Dua,Taseer LahuHai Likhi Gayi Taqdeer LahuHar Bacha Jawan Aur Peer LahuKashmir Ki Hai Tauqeer LahuHar Saaz O Wafa Kashmir LahuHar Jheel Sifa Kashmir LahuWo Kehta Hai Kashmir LahuMai Kehta Hoon Kashmir LahuKashmir Lahu Kashmir LahuKashmir Lahu Kashmir LahuPoet :Raahi

Yeh Hawaon K Musafir , Yeh Samundaron K RaahiMeray Sir Bakaf Mujhahid , Meray Sar Shikan SipahiYeh Tera Yaqeen Mehkam , Teri Himmaton Ki Jaan HaiTeray Bazo’uon Ki Kuwwat Teray Azm Ka Nishaan HaiTu Hi Raah , Tu Hi Manzil , Tu Hi Meer E Karwaan HaiYeh Zameen Teri Hai , Yeh Jahaan Tera Jahaan HaiTu Watan Ka Pasbaan Hai , Teray Haath Main Hai ShaahiMeray Sir Bakaf Mujhahid , Meray Sar Shikan SipahiTeri Abro’uon Ki Junbash Teri Ankh Ka IshaarahTeray Dushmano Ki Aafat , Teray Qehar Ka IshaarahTu Watan Ki Aabro Hai , Tu Watan Ka Hai SahaarahIss Aabro Se Chamka Iss Dais Ka SitaarahYehi Bankapan Hai Tera , Yehi Teri KajKalaahiMeray Sir Bakaf Mujhahid , Meray Sar Shikan Sipahi

Sundar Hai Jag Me Sabse, Naam Bhi Nayara HaiWoh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara HaiJaha JatiBhasha Se Badh Kar DeshPrem Ki Dhara HaiWoh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara HaiJita Tha Prem Se Sabko, Hai “Baapu” Us Ka NaamDesh Ke Khatir Jisne Kiya Apna Jeewan BalidanJaha Pe Vir Bhagat, Azad Aur “Bose” Ka Nara HaiWoh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara HaiJaha Pe “Suraj” Puja Aur Nadion Me Mata GangaChandrama Pe Lahraya Jisne Apna Dhwaj “TIRANGA”,Vishv Ko Jisne ZERO Dekar Kiya Navyug Ka Ujiyara Hai,Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara HaiJo Sadion Se Aaj Bhi Har Rishte Se Pyara HaiSincha Jisko Khun Se Humne Aur Mamta Se Sawara HaiJaha Ajuba Hai Vishv Ka, Kehlata “TAJ” Humara HaiWoh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara HaiJis Desh Ko “Mata” Keh Ke Hum Sab Ne Diya SammanWo Hai Bharat Desh Mahan, Wo Hai Bharat Desh Mahan