Jis phool k libas mein boo-e- wafa na ho. . ! Us phool ko hadood-e-chaman se nikaal de. . !

Rahi hai paish-e-nazar maslehat na khushnoodi. . Mein daagh daagh hoon muhabbat k liye. . !

Shayad isi ka nam muhabbat hai ‘Shefta’.. Ik aag si hai senay mein lagi hui..!!

Ataa hua tha humain bhi ik din muhabbat ka.! Wo ik din bhi na janey kahan kahan juzar gaya..

Ishq ki be-tabiyon per husn ko reham aa gya.. Jab nigah-e-shouq tarpi parda-e-mehmal na tha!

Tota to kitney aina khan’on pey zad pari.. Atka hua galey mein jo pathar sada ka tha!!

Jo keh chukey hein bas wohi kafi hai dosto.. Ab is udas dour mein ashar kia kah’ein.!!

Guzar gaya koi thokar laga k aaj mujhay K jaisy mein bhi khiza’n ka haqeer patta tha .

Chali hai jaan yaad-e-raftaga’n mein. . ! Musafir hai talash-e-karwa’n mein. . !

Gar Poochey Koi Mujh Sy Tere Ta?aluq Ki Nisbat Nikaal K Dil Apna Hatheli Py Rakh Doon Ga? !!

Dekha to sab lal-o-johar lagey mujhey.. Parkha jo dost’on ko aksar mein kuch na tha.!!

Saans lenay ko samajhtey hein hayat aye shayar.. Log waqif to hon jeenay ki ada sey pehlay.!

Shehar farhaad key mathey pey likha hai kis ney.. Apney saye ko bhi zanjeer pehnaye rakhna!!

Sehra ka ik darakht hun tanhai’yon mein gum.. Aisa na apni zaat mein khoya keray koi..

Toofan-e-hawadis sey darata hai humain kia.. Hum log to aksar teh-gardaab rahay hein…