Khalaq ki be-kahbri hai ya meri ruswai.!! Log mujh ko hi sunatey hein fasaney meray..

Khuda gawah hai hum kab key mar gaye hotey.. Jo hadsat sikhaye na zindagi ka chilan!!

Phool hoon gulaab ka chambeli ka nahi, Ashiq hoon apka, apki saheli ka nahi 😛

Shehar ka shehar hua jaan ka piyasa kesa.. Saans leta hai meray samney dariya kesa.!!

Teri hi yaad’on ka chehra chamka hai.. Jab bhi tanhai key sholey bharkey hein.!!

Kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar k mujhy Guzar gai jars-e-gul udaas kar k mujhy. .

Ghar to basa liya hai hum ne mil kar apna Sheeshay k ghar mein kaisy rah paingy batao?

Jab kisi sey koi peyman-e-ehad kerta hai.. Kanp uthta hun key mera sa hi anjam na ho.!

Haan! nahi teri rafaqat ki zarurat mujh ko Meri monas, meri humdum, meri tanhai hai. !

Dil woh nagar nahin ke phir abaad ho sakey, Pachhtaao ge suno! yeh basti ujaarr kar ..

Khayal-o-khawab ki tasweer ho gaye hein.! Tumharey ishq mein majbor ho gaye hein hum..

Shareeq-e-bazm hui jab sey chasm-e-saqi.!! Har ik jaam sey chalkey hazar maey khaney..

Zabt ney qatra-e-ashk aik bhi girney na dia! Aabro gham ki rahi is ki badolat mehfoz..

Zulm wo daikh, pas sey uthtey hein charagar.. Tery mareez-e-hijr ney tora hai dam abhi!

Zulm wo tery khoof sey lab per nahi ata.! Honay ko to kia kia mery dil mein nahi hota..