falsafe ishq mein pesh aaye savalon ki tarahhum pareshan hi rahe apne khayalon ki tarahshishagar baithe rahe zikremasiha lekaraur hum toot gaye kanch ki pyalon ki tarahjab bhi anjamemuhabbat ne pukara khud kowaqt ne pesh kiya hum ko misalon ki tarahzikr jab hoga muhabbat mein tabahi ka kaheenyaad hum aayenge duniya ko havalon ki tarahPoet of the poem/ghazal or Nazam: Sudarshan Faaki

ghar chod ke bhi zindagi hairaniyon mein haishaharon ka shor dasht ke viraniyon mein haikitna kaha tha us se ke daman samet leab wo bhi mere sath pareshaniyon mein hailaharon mein dhundhata hun main khoye huye nagincheharon ka aks behte huye paniyon mein haidarta hun ye bhi waqt ke hathon se mit na jayehalkee si jo chamak abhi peshaniyon mein haiPoet of the poem/ghazal or Nazam: Mumtaz Rashid

Jaagti Raat K Honton Pe Fasaney JaisyEk Pal Men Simat Aaye Hon Zamany JaisyAqal Kehti Hai Bhula Do Jo Nahi Mil PayaDil Wo Pagal K Koi Baat Na Maany JaisyRaasty Men Wohi Manzar Hen Puraany Ab TakBus Kami Hai To Nahi Log Puraany JaisyAaina Dekh K Ehsas Yehi Hota HaiLe Gaya Ho Waqt Umron K Khazaany JaisyRaat Ki Aankh Se Tapka Hua AansuMakhMali Ghaas Pe Moti K Hon Daany JaisyShare By : Asim Aslam

‘faraz’ ab koi sauda koi junun bhi nahimagar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahilabodahan bhi mila guftagu ka fan bhi milamagar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahimeri zuban ki luknat se badguman na hojo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahi‘faraz’ jaise koi diya turbatehava chahe haitu pas aaye to mumkin hai main rahun bhi nahiPoet of the poem/ghazal or Nazam: Ahmed Faraz

Barishoon Ka Intezar Tha ,Dil Milne Ko Bekarar ThaEk Taraf Judai Ek Taraf Unka Pyar ThaKuch Ankahi Ansuni Baatein Thi Zuban ParDil Mei Kuch Shararat Bhara Khumar ThaSocha Tha Jub Milenge Khoob Saari Baatein HongiPar Baaton Ka Kya Dil To Pyar Ka Bimaar ThaWoh Pyar Deyta To Saare Dard OGhum Door Ho JaateDil Chah Kar Bhi Milna Payaa UnseDarta Tha Phir Juda Ho Jaye GaPal Bhar Ka Jo Deedar ThaShare By : Bindu Mahajan

fasala to hai magar koi fasala nahimujhase tum juda sahi dil se to juda nahiaasman ka fikr kya aasman khafa sahiaap ye bataiye aap to khafa nahikashtiyan nahi to kya hausale to pas hainkah do nakhudaon se, tum koi khuda nahilijiye bula liya aap ko khayalon meinab to dekhiye hamen koi dekhata nahiaaiye chiragedil aj hi jalayen humkaisi kal hawa chale koi janata nahiPoet of the poem/ghazal or Nazam:  Shamim Karhani

Mohabbat Na Samajh Hoti Hai, Samjhana Zaroori Hai Jo Dil Mein Hai Use Aankhon Se Kehalwana Zaroori Hai Usoolon Par Jo Aanch Aaye To Takrana Zaroori Hai Jo Zinda Hai To Fir Zinda Nazar Aana Bhi Zaroori Hai Bohot Bebaak Aankhon Mein Talluq Tik Nahin Sakta Mohabbat Mein Kashish Rakhne Ko Sharmana Zaroori Hai Saleeqa Hi Nahi Shayad Use Mehsoos Karne Ka Jo Kehte Hai Gar Khuda Hai To Nazar Aana Bhi Zaroori Hai. Share By : Aamir Sunny

Tumhein Shayed Ye Lagta Hay,Mohabbat Khubsurat Hay,Tumhara Ghar Sanwaray Gi,Tumhein Yunhi Nikharay Gi,Tumhein Apna Bana Lay Gi,Tumhein Shayad Ye Lagta Hay,Mohabbat Rab Ki Surat Hay,Tumhein Dukh Se Nikalay Gi,Tumharay Dard Samjhe Gi,Tumhare Gham Sambhalay Gi,Mujhe Maloom Hay Itna,Mohabbat Shab Ki Surat Hay,Ujalon Ko Ye Kha Lay Gi,Tumhey Tum Say Chura Lay Gi,Tumhey Pagal Bana Day Gi,Mohabbat Maar Deyti Hay,Mohabbat Maar Dalaygi…!Share By : Bindu Mahajan

Sad Hindi Poetry on Dardey Ishq Bichrey To Dardey Ishq Ka Chara Na Kar SakeYoon Tarqe Aashiqi Bhi Gawara Na Kar SakeVerna Vo Intezaar Me Sadiyaa GuzarteyHum Hi Chale To Unko Ishara Na Kar SakeJo Aatishi Parasti They Vo Bhi Na Jaane KyonApne Hi Ghar Me Aag Gawaraa Na Kar SakeUsko Agar Thi Shehar Ki Gar Rounaqke AgarTanhaiyon Se Hum Bhi Kinara Na Kar SakeKuch Is Tarah Se Usne Bikhera Hume YahanHum Aur Zindagi Me Bharosa Na Kar SakeShare By : Haji Inayat Ali

Masoom Si Mohabbat Ka Bus Itna Sa Fasana Hai..Kagaj Ki Haveli Hai, Baarish Ka Zamaana Hai..Kya ShartEMohabbat Hai, Kya ShartEZamana Hai..Awaz Bhi Jakhmi Hai Aur Wo Geet Bhi Gana Hai..Uss Per Utrne Ki Umeed Bahut Kam Hai..Kashti Bhi Puraani Hai, Tufaan Bhi Aana Hai..Samajhe Ya Na Samjhe Wo AndaazEMohabbat Ka..Bheegi Hui Ankho Se Ek Sher Sunaana Hai..Bholi Si Ada, Koi Fir Ishq Ki Jid Par Hai..Fir Aag Ka Dariya Hai, Aur Doob Hi Jana Hai …Share By : Bindu Mahajan

Lahoo Ronay Se Darta Hoon , Juda Honay Se Darta Hoon ,Meri Aankhain Batati Hain K Main Sonay Se Darta Hoon ..Meri Unggli Pakar Laina Mujhe Tanha Nahi Karna,Ye Dunya Aik Maila Hai Tumhain Khonay Se Darta Hoon…Jo Hansti Ho Tu Kyun Palkoon K Goshay Bheeg Jatay Hain ,Tumhain Maloom Hai Main Iss Tarah Ronay Se Darta Hoon …Ye Jab Se Khwaab Daikha Hai Tum Mujhe Choor Jaao Gee ,Main Ab Darta Hoon Khwaabon Se Main Ab Sonay Se Darta Hoon…Share By : Sohail Khan

Kabi Jo Hum Nahi Hon Gay…Kaho Kis Ko Batao Gay…Wo Apni Uljanein Sari..Wo Becheini Main Doobe Pal….Wo Aankhon Main Chupe Aansu…Kise Phir Tum Dikhao Gay…Kabi Jo Hum Nahi Hon Gay…Boht Bechan Hon Gay…Boht Tanha Reh Jao Gay…Abi B Tum Nahi Samjhay…Humari Ankahi Batain…Mgr Jab Yaad Aayein Gay…Boht Tum Ko Rulayein Gay…Boht Chaho Gay Phir B…Hamay Na Doond Pao Gay…!!Share By : Sadaf Dawood

Kitabo K Panne Palat K Sochte Hai,Yuh Palat Jaye Zindagi To Kya Baat Hai,Tamana Jo Puri Ho Khaabon MaiHaqiqat Ban Jaye Toh Kya Baat Hai,Kuch Log Matlab K Liye Dundhte Hai Mujhe,Bin Matlab K Liye Koi Aaye Toh Kya Baat Hai,Katal Karke To Sab Le Jayenge Dil Mera,Koi Baato Se Le Jaye Toh Kya Baat HaiJo Shrifo Ki Sharafat Mai Baat Na Ho1 Sharabi Keh Jaye To Kya Baat Hai ,Zinda Rhene Tak To Khushi Dungi Sabko,Kisiko Meri Maut Pe Khushi Mil Jaye Toh Kya Baat HaiShare By : Jyoti More

Meri Yaadon Me, Ek Ankahi Kahaani Reh JaayegiKuch Palon Me Beeti, Saari Zindgaani Reh JaayegiKuch Palon Me Chal Padungi Main To Ek Kahaani BankarTamaam Umar Teri Nazron Mein, Ek Nishani Reh JaayegiYe Mehfilon Ki Duniyaa Kar Jaaungi Naam TereFir Bhi Teri Zindagi Mein Ek Tanhaai Reh JaayegiKab Talak, Apni Kalam Se Khud Ko Zindagi Main DuPanna Panna Ho Jaye, To Bhi Meri Shayari Reh JayegiZakhmon Ka Hisaab To Hamesha Hi Behisaab RahaKam Se Kam Ek Ankh To Yah Nami De JayegiShare By : Bindu Mahajan

gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahitune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahineend ka halka gulabisa khumar aankhon mein thayun laga jaise wo shab ko der tak soya nahihar taraf divarodar aur un mein aankhon ka hujumkah sake jo dil ki halat wo labegoya nahijurm aadam ne kiya aur nasleadam ko sazakatata hun zindagi bhar main ne jo boya nahijanata hun ek aise shakhs ko main bhi ‘munir’gham se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahiPoet of the poem/ghazal or Nazam: Munir Niazi