Zakham par rehne de kisi sorat to bari baat hai ye, Warna jaan se to guzarna koi dushwar nahin.

Tang hota ja raha hai haala-e-yaksaaniyat, Kya inhii pheekay dino mein ghutt ke marna hai mujhe..

Kaar-e-duniya bhi, neya ishq bhi, yadain bhi Saleem, Kitne zakhmon ko sajaye huye ghar jao ge tum..

Teri Nigaah Bhi Iss Daur Ki Zakaat Hui…. Jo Mustahiq Hai Ussi Tak Naheen Pohanch pati …

Thokar se mera paaon to zakhmi hua zaroor, Raste mein jo kharra tha woh kohsaar hatt geya.. (kohsaar;obstacle)

Jis taraf bhi dekhon tera hi aks muyasar hy ankhon ko, Jan-e-man, ye hr koi tum jaisa hy ya sara zamana tum ho.

Jeevan Zehar Bhara Saagar!! Kab Tak Amrit Gholaien Gay.?? Neend To Kya Aayegi “Faraz” Maut Aayi To So Lain ge..