Phir Aaj Aansuyon Mein Nihaayi Hui Hai Raat; Shayed Hamari Tarah Hi Sataayi Hui Hai Raat

Yeh Kya Ki Tujhe Bhi Hai Zamane Se Shikayat; Yeh Kya Ki Teri Aankh Bhi Pur Num Hai Meri Jaan

Unhe Kehna Ki Meri Maut Par Aansoo Na Bahaye; Mujhe Apni Maut Se Jyada Unke Rone Ka Dukh Hoga

Hajoom Mein Tha Woh Khul Kar Na Ro Saka Ho Ga; Magar Yakeen Hai Ke Shab Bhar Na So Saka Ho Ga

Aaj Phir Mausam Num Hua Meri Aankhon Ki Tarah; Shayad Baadlon Ka Bhi Kisi Ne Dil Dukhaya Hoga

Meri Yaadon Kee Kashti Uss Samandar Mein Tairti Hai; Jis Mein Paani Meri Apni Hi Palkon Ka Hota Hai

muskura k dekho to, sara jaha rageen hai,
varna bhigi palko se to, aaina bhi dudhla nazar aata hai.

Jo Aag Lagayi Thi Tum Ne Us Ko To Bujhaya Ashkon Ne
Jo Ashkon Ne Bhadkayi Hai Us Aag Ko Thanda Kaun Kare

Ek din hamare annsoon humse pooch baithe humey roz -roz kyon bulate ho Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho

Teri dosti hum is tarah nibhayenge Tum roz khafa hona hum roz manayenge Par maan jana manane se Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge

Raat hogi to chand duhai dega Khawabon mein aapko woh chehra dikhai dega Ye mohabbat hai zara sochke karna Ek aansoo bhi gira to sunai dega

Ankho me aansuo ko ubharne na diya Mitti ke motiyo ko bikharne na diya Jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan Us raah se kisi ko gujarne na diya

Iss Dil Ne Ab Pyaar Karna Chod Diya; Jis Din Se Tumne Yeh Dil Tod Diya; Ab To Ro Bhi Nahi Sakte Apni Bebasi Pe; Iss Liye In Aankhon Ne Ab Rona Bhi Chod Diya

Mana Ki Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi; Magar Tumhein Meri Mohabbat Ka Bhi To Ehsaas Nahi; Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham-e-Aansu; Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi

Jab Kuchh Sapne Adhure Reh Jaate Hein; Tab Dil Ke Dard Aansu Ban Ke Beh Jaate Hein; Jo Kehte Hein Ke Hum Sirf Aap Ke Hein; Pata Nahi Kaise Alvida Keh Jaate hein