Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafatenkabhi sohabaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbatenye sukhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad kekoi lamha subah-e-visal ka, kai sham-e-hijr ke qurbatenjo tumhari man lain nasiha to rahega daman-e-dil mein kyana kisi udu ke adavaten na kisi sanam ke muravvatenchalo aao tum ko dikhayen hum jo bacha hai maqtal -e-shahar meinye mazar ahal-e-safa ke hain ye hain ahal-e-sidq ke turbatenmeri jan aj ka gham na kar, ke na jane katib-e-vaqt nekisi apne kal mein bhi bhool kar kaheen likh rakhi ho masarraten

Your Comment Comment Head Icon

Login