Na Bujha Chiragh-E-Dayaar-E-Dil, Na Bichrne Ka Tu Malaal Kar,Tujhe De Gi Jeene Ka Hosla, Meri Yaad Rakh Le Sambhal Kar,Ye Bhi Kya Ke Ek Hi Shakhs Ko Kabhi Sochna, Kabhi Bhoolna,Jo Na Bujh Sake Wo Diya Jala, Jo Na Ho Sake Wo Kamal Kar,Gham-E-Arzu Meri Justju, Mei Simat Ke Aa Gaya Ru-Baru,Ye Sukoot-E-Marg Hai Kis Liye? Mei Jawab Doon Tu Sawal Kar,Tu Bichhar Raha Hai To Soch Le, Tere Hath Hai Meri Zindgi,Tujhe Rokna Meri Mot Hai, Meri Be`Bsi Ka Khayal Kar,Mre Dard Ka, Mre Zabt Ka, Meri Be-Basi, Mere Sabr Ka,Jo Yakeen Na Aaye To Dekh Le, Tu Hawa Mein Phool Uchaal K

Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafatenkabhi sohabaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbatenye sukhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad kekoi lamha subah-e-visal ka, kai sham-e-hijr ke qurbatenjo tumhari man lain nasiha to rahega daman-e-dil mein kyana kisi udu ke adavaten na kisi sanam ke muravvatenchalo aao tum ko dikhayen hum jo bacha hai maqtal -e-shahar meinye mazar ahal-e-safa ke hain ye hain ahal-e-sidq ke turbatenmeri jan aj ka gham na kar, ke na jane katib-e-vaqt nekisi apne kal mein bhi bhool kar kaheen likh rakhi ho masarraten

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya HogaMeri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya HogaBaat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee HogiUss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya HogaSocha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar MujhayNaam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya HogaJahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi SayUss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya HogaRaat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi TujhayTunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya HogaHokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay JaanaMeri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya HogaPoocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka SabbabTunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho GaMere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho GaBaat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo GiUss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho GaSoocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar MujhyNaam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho GaJahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi SayUss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo GaRaat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho Gi TujhyTuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho GaHo Kay Nidhal Mere Yadoon Say Tuu Nay JaanaMere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo GaPoocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka SababTuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga

Ruh bechain hai ik dil ki aziyat kya haidil hi shola hai to ye soz-e-mohabbat kya haiwo mujhe bhool gai iski shikayat kya hairanj to ye hai ki ro-roke bhulaya hogawo kahan aur kahan kahif-e-gam sozish-e-janus ki rangin nazar aur nuqush-e-hirmanus ka ehsas-e-latif aur shikast-e-armantanazan ek zamane nazar aaya hogajhuk gai hogi javan-sal umangon ki jabinmit gai hogi lalak dub gaya hoga yaqincha gaya hoga dhuan ghum gai hogi zaminapne pahale hi gharonde ko jo dhaya hogadil ne aise bhi kuch afsane sunaye hongeashk aankhon ne piye aur na bahaye hongeband kamare mein jo khat mere jalaye hongeek-ik harf jabin par ubhar aaya hogaus ne ghabarake nazar lakh bachai hogimitake ik naqsh ne sau shaql dikhai hogimez se jab meri tasvir hatai hogihar taraf mujh ko tadapta hua paya hogabemahal ched pe jazbat ubal aaye hongegham pasheman tabassum mein dhal aaye hongenaam par mere jab aansu nikal aaye hongesar na kandhe se sahali ki uthaya hogazulf zid kar ki kisi ne jo banai hogiruthw jalvon pe khizan aur bhi chai hogibarq ashvon ne kai din na girai hogirang chehare pe kai roz na aaya hogahoke majabur mujhe us ne bhulaya hogazeher chup kar ki dawa jan ki khaya hoga 

Hataaye The Jo Raaste Se Doston KiWo Patthar Mere Ghar Men Aane Lage HainWahi Phir Mujhe Yaad Aane Lage HainJinhen Bhulaane Men Zamaane Lage HainYe Kehnaa Thaa Un Se Muhabbat Hai MujhkoYe Kehne Men Mujh Ko Zamaane Lage HainQayaamat Yaqinan Qarib Aa gaii Hai‘Khumar’ Ab To Masjid Men Jaane Lage HainKhumar Barah BankaviUrdu Version:ہٹائے تھے جو راہ سے دوستوں کیوہ پتھر میرے گھر میں آنے لگے ہیںوہ پھر مجھے یاد آنے لگے ہیںجنہیں بھولنے میں زمانے لگے ہیںیہ کہنا تھا ان سے محبت ہے مجھ کویہ کہنے میں مجھ کو زمانے لگے ہیںقیامت یقینا قریب آگئی ہےخمار اب تو مسجد میں جانے لگے ہیں(خمار بارہ بنکوی)