Jahan talak bhi ye sehra dikhai deta haimeri tarah se akela dikhai deta haina itna tez chale sar-phiri hawa se kahoshajar pe ek hi patta dikhai deta haibura na maniye logon ke aib-jui kainhen to din ka bhi saya dikhai deta haiye ek abr ka tukara kahan kahan barasetamam dasht hi pyasa dikhai deta haiwo alvida ka manzar wo bhigati palakenpas-e-gubar bhi kya kya dikhai deta haimeri nigah se chup kar kahan rahega koike ab to sang bhi shisha dikhai deta haisimat ke rah daye aakhir pahar se qad bhizamin se har koi uncha dikhai deta haiye kis maqam pe lai hai justaju terijahan se arsh bhi nicha dikhai deta haikhili hai dil mein kisi ke badan ke dhup “shakeb”har ek phul sunehara dikhai deta hai

Your Comment Comment Head Icon

Login