Kam aa sakin na apni vafayen to kya karenik bevafa ko bhool na jayen to kya karenmujh ko ye etaraf duaon mein hai asarjaye na arsh par jo duayen to kya karenik din ke baat ho to use bhool jayen humnazil hon roz dil pe balayen to kya karenshab bhar to un ke yaad mein tare gina kiyetare-se din ko bhi nazar aayen to kya karenahad-e-tarab ke yaad mein roya kiye bahutab muskura ke bhool na jayen to kya karenab jee mein hai ki un ko bhula kar hi dekh lainwo bar bar yaad jo aayen to kya karentark-e-vafa bhi jurm-e-muhabbat sahi “akhtar”milane lagen wafa ke sazayen to kya karen

Your Comment Comment Head Icon

Login