Kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gayetere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gayetu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hainjane wo tu kidhar gaya jane wo hum kidhar gayerahon mein hi mile the hum rahen nasib ban gaintu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gayewo bhi gubar-e-khak tha hum bhi gubar-e-khak thewo bhi kaheen bikhar gaya hum bhi kaheen bikhar gayekoi kinar-e-ab-e-ju baitha hua hai sarnigunkashti kidhar chali gai jane kidhar bhanvar gayetere liye chale the hum tere liye thahar gayetu ne kaha to jee uthe tu ne kaha to mar gayewaqt hi kuch judai ka itna tavil ho gayadil mein tere firaq ke jitne the zakhm bhar gayebarish-e-vasl wo hui sara gubar dhul gayawo bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gayeitane qarib ho gaye itane raqib ho gayewo bhi “adeem” dar gaya hum bhi “adeem” dar gaye

Your Comment Comment Head Icon

Login