Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahina to tu raha na to main raha, jo rahi so bekhabari rahishah-e-bekhudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahanagina khirad ke bakhiyagari rahi na junun ke pardadari rahichali simt-e-gaib se ik hawa ki chaman zahur ka jal gayamagar ek shakh-e-nihal-e-gham jise dil kahen so hari rahinazar-e-tagaful-e-yar ka gila kis zaban son bayan karunki sharab-e-sad-qadah aarzoo khum-e-dil mein thi so bhari rahiwo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars-e-nuskha-e-ishq kaki kitab-e-aql ke taq mein jyun dhari thi tyun hi dhari rahitere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar son yahan huaki na aaine mein rahi jila na pari kun jalva-gari rahikiya khak aatish-e-ishq ne dil-e-benava-e-”siraj” konna khatar raha na hazar raha magar ek bekhatari rahi

Your Comment Comment Head Icon

Login