Khulegi is nazar pe chashm-e-tar aahista aahistakiya jata hai pani mein safar aahista aahistakoi zanjir phir vapas waheen par le ke aati haikathin ho reh to chutata hai ghar aahista aahistabadal dena hai rasta ya kaheen par baith jana haiki thakata ja raha hai hamsafar aahista aahistakhalish ke sath is dil se na meri jan nikal jayekhinche tir-e-shanasai magar aahista aahistahua hai sarkashi mein phul ka apna ziyan, dekhaso jhukata ja raha hai ab ye sar aahista aahistameri sholamizaji ko wo jangal kaise ras aayehawa bhi sans leti ho jidhar aahista aahista

Your Comment Comment Head Icon

Login