Tum ne tahariq mujhe di ki jao dekhochand taron se pare aur duniyayen haintum ne hi mujh se kaha tha ki khabar le aaomere dil mein waheen jane ke tamanayen hainaur main chal diya gaur kiya kab is parkitna mahadud hai insan ke quvvat ka tilismbas yahi jee ko khayal aaya tumhen khush kar dunye na socha ki yun mit jayega rahat ka tilismaur ab ham-dami-o-ishrat-e-rafta kaiseaah ab duri hai duri hai faqat duri haitum kaheen aur main kaheen ab nahi pahali halatlaut ke aa bhi nahi sakata ye hai majboorimeri qismat ki judai tumhen manzur huimeri qismat ki pasand aayi na meri batenab nahi jalvagah-e-khilavat-e-shab afsaneab to bas tira-o-tarik hai apni raten

Your Comment Comment Head Icon

Login