Ye kya ke ek jahan ko karo vaqf-e-iztarabye kya ke ek dil ko shakeban na kar sakoaisa na ho ye dard bane dard-e-lazavalaisa na ho ke tum bhi mudava na kar sakoshayad tumhen bhi chain na aaye mere bagairshayad ye baat tum bhi gavara na kar sakokya jane phir sitam bhi mayassar ho na hokya jane ye karam bhi karo ya na kar sakoALLAH kare jahan ko meri yaad bhool jayeALLAH kare ke tum kabhi aisa na kar sakomere siva kisi ke na ho tum ko justajumere siva kisi ke tamanna na kar sako 

Your Comment Comment Head Icon

Login