Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tha, Sar-e-Bazam Raat Ye Kia HoaMery Ankh Kaise Chalakh Pari, Mujhe Ranj Hai Ye Bura HoaMeri Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Naya NahiKabhi Roshni Kabhi Tareqi, Na Jala Hoa Na Bujha HoaMujhe Aap Kuen Na Samjh Sake, Ye Apny Dil Sey Hi PochiyeMery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula HoaAbhi Abhi Mere Pass Se, Jo Nazar Bacha Key Ghoor GayeYe Mery Shaher Ke Log Hain, Mere Ghar Sey Ghar Mila HoaMujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kaar-E-Jafa MilaNa Kisi Ke Chot Ghalat Pari, Na Kisi Ka War Khata HoaMujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Meri Tarha Hi Luta HoaKabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi Qafiloon Sey Luta HoaMujhe Ik Gali Mein Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath MilaKaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita HoaHamein To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Khooloos HonNa Chehre Pe Apne Naqab Hai, Na Kuch Asteen Mein Chupa Hoa

Your Comment Comment Head Icon

Login