Ik Umar Dil Kee Ghaat Se Tujh Par Nigaah Kee; Tujh Par Teri Nigaah Se Chhup Kar Nigaah Kee; Roohon Mein Jalti Aag Khayalon Mein Khilte Phool; Saari Sadakatein Kisi Kaafir Nigaah Kee; Jab Bhi Gham-e-Zamana Se Aankhein Hui Do-Chaar; Munh Pher Kar Tabassum-e-Dil Par Nigaah Kee; Baagen Khinchi Masafatein Kadki Faras Ruke; Maazi Kee Rath Se Kis Ne Palat Kar Nigaah Kee; Dono Ka Rabt Hai Meri Mauj-e-Khiram Se; Lagzish Khayal Kee Ho Ke Thokar Nigaah Kee

Your Comment Comment Head Icon

Login