Ae meri aashiqi tujhe meri kasam,udaa ke kabhi jana nahi.Ae meri har khushi tujhe meri kasam,Dil ko laga ke kabhi jana nahi.Apno ki chahat ka asar to khwaabon mein rahta hai,Ras chahat ka apno ki, gulaabon mein bahta hai,Ae meri bandgi tujhe meri kasam,Apna bana ke kabhi jana nahi.Kisi se baandh ke bandhan, toddte nahi hain,Thaam liya jo daaman to phir, chhodte nahi hain,Ae meri zindgi tujhe meri kasam,Daaman chhuda ke kabhi jana nahi.Ghum ke andhero ka tu hi to jalta diya hai,Meri zindgi ko roshan tune hi kiya hai,Ae meri chaandni tujhe meri kasam,Raatein bujha ke kabhi jana nahi.Har tahreer mein hota hai,Charcha tere noor ka,Diwana kar de jo pal mein,Husn aisa hai huzoor ka,Ae meri shayari tujhe meri kasam,Nagme chura ke kabhi jana nahi..

Your Comment Comment Head Icon

Login