Aourat ka samman karo mat iska apmaan karoMa banke pyar ye deti baise tum bhi pyae karoKabhi to yah beti banti kabhi bahen ban jati haiMaa banke duniya me yeh kitne farz nibhati haiGhar ko aourat swarg banati khusiyon se sajati haiGhar ki aan maan ki khatir har dukh sah jati haiJaan ko apni de deti hai izzat nahi gavati haiKabhi sati banke aourat lapto me jal jati haiHar dukh haskar sahti himmat nahi harti haiJisko dil se pyar yeh karti uss par jaan barti haiAourat bo phool kamal hai duniya ko mahkati haiPyar ke yeh deep jala kar jag roshan kar jati haiAb socho aourat sachhi ya sachhi yeh duniya hai“SAGAR” kahta aourat sab kuch aourat se hi duniya hai.

Your Comment Comment Head Icon

Login