Ehsaas k andaz badal jate hain warna,Aanchal bhi usee tar say banta hay kafan bhi.————————–Sirf es waste es boot say akeedat hay mujhay,tarashay janey main bohat dard saha hay es nay.————————–(Ghalib)Bazecha-e atfal hay dunya mere aagay,Hota hay shabo roz tamasha mere aagay.————————–(Parveen Shakir)Es bar jo eendhan k leye kat k gira hay,Chiryoo ko bara piyar tha es booe shajar say—————————Baz Gasht (by Mohsin Naqvi)Sukoot-e sham-e ghareeba main sun sako to suno,K maqtaloo say abhi tak sadaeen aati hain,Lahoo say jen ko munawar kare damaghe bashar,Hawaaen esay charagho say khouf khati hain.—————————-Azmat-e Adam (by Mohsin Naqvi)Ishq,,,, Mazil k rukh ka ghaza hay,Akl,,,,, Rastay ko saaf karti hay,Zindagi par jo log cha jain,Mout un ka tawab karti hay.

Your Comment Comment Head Icon

Login