Hayat-o-Hurmat,Maher-o-Wafa ki Shaan hai Aaurat,Shabaab-o-Husn,Andaaz-o-Ada ki Jaan hai Aaurat,Hijaab-o-Asmat-o-Sharm-o-Haya ki Kaan hai Aaurat,jo Dekho Ghaour se har Mard ka Eimaan hai Aaurat,Agar Aaurat na Aati Kul Jahan Matam Kadah hota,Agar Aaurat na hoti har Makaan ek Gham Kadh hot hota,Jahan mein ek Sache Mard ki Taqdeer hai Aaurat,Tilism Aalam Bala ki ek Akseer hai Aurat,Ye Kudrat mein ek Chalti hui Shamsheer hai Aaurat,Zameen par Fitrat-e-Masoom ki Tasveer hai Aaurat,Jahan mein karti hai Shaahi magar Lashkar nahin rakhti,Diloun ko karti hai Zakhmi magar Khanjar nahin rakhti,kahin Masoom Tifli is ke Naghmoun se Bahlti hai,kahin Be-Khud-o-Jawani is ke Nosh-e-Lab se Phalti hai,Kahin Majboor Peeri iski Batoun se Sanbhalti hai,Kahin Aaraam se Jaan iske Qhadmoun par Nikalti hai,Nahin hai Kibruyaai Laikin wo Shaan-e-Kibryaai hai,Hamari Saari Umar par iski Khudai hai,Ussi ki Buu hai Duniya ke Lahekte Ghancha Zaroun mein,Ussi ka Rang Gulshan ki Mahekti Nau Baharoun mein,Ussi ke Naghme Jannat ke Machlte Aabsharoun mein,Ussi ka Noor Khudrat ke Bahaarein Jalwa Zaroun mein,Bahaar Afreenash hai Shabaab-e-Zindagani hai,Jawan Fitrat ka ek Khoya Hua Khuwaab-e-Jawani hai,Wo Rooti hai to Saari Kaynaat Aansu Bhati hai,WO Hansti hai to Fitrat Be-Kudi se Muskurati hai,Wo Sooti hai to Saatoun Aasman ko Nieend Aati hai,Wo Uthti hai to Kul Khuwabidah Duniya ko Uthati hai,Wohi Arman Hasti Wohi Eimaan Jaheti Hai,Badan kahey agar Hasti ko to Wo Jaan-e-Hasti hai,Wo Caahe to Jalwe de Naqal Zaar Hukmraani ko,Wo Caahe to Badal de Rang-e-Bazam-e-Aasmani ko,Wo Caahe to Uulat de Pardah Duniya-e-Fani ko,Wo Caahe Mitta de Josh-e-Baher Zindagani ko,Wo Kahde to Bahaar-e-Jalwa Mitt Jaye Nazaroun se,Wo Kahde to Libaas-e-Noor Chin jaye Sitaroun se.

Your Comment Comment Head Icon

Login