Hum aapko in aankhon mein yun basaa liya karte hain,Ja sake jahan tak hamari yeh nazar, aap ko har jagah paa liya karte hain.Aap ki yaadon ki mehak se din guzaar liya karte hain,Na mil sakain aapse kabhi to, aapki tasveer ko seene se lagaa liya karte hain.Hum na jaante the ke pyaar mein itni tadap hoti hai,Aap ki yaad mein kabhi tanhai mein, aansu baha liya karte hain.Ab laut bhi aao tum hamaari khatir,Ke aapki aas mein hi har shaam guzaar liya karte hain.Mayusi jab chhaa jaati hai chehre pe,Yaad karke aapko, hum yun hi muskuraa liya karte hain.

Your Comment Comment Head Icon

Login