Ishq seha hai ke darya kabhi sochey wo bhiUs se kya hai mera naata kabhi sochey wo bhiHaan main tanha hoon ye iqrar bhi kar leta hoonKhud bhi wo tanha hai kitna kabhi sochey wo bhiYe alag baat hai ke jataya nahi maine us koWarna kitna usey chaha kabhi sochey wo bhiUsey awaz likha chand likha phool likhaMaine kya kya usey likha kabhi sochey wo bhiMutmain hoon usey lafzon ki hararat de karMaine kitna usey socha kabhi sochey wo bhi..

Your Comment Comment Head Icon

Login