Jab Saher ho hansalo hum ko,Jab Andhera ho Jilalo hum ko,Hum Haqiqat hain Nazar aate hain,Daastanoun mein Chupalo hum ko,Din na pa jaye kahin Shab ka Raaz,Subah se pahele Jagalo hum ko,Door ho jayeinge Suraj ki tarha,Hum na kahte mat Uch,chalo hum ko,Hum Zamane ke sataye hain bohat,Apne Seene se lagalo hum ko,Waqt ke hount hamein Chu lenge,In ke Bool hain Ga lo hum ko.Itna tuta hun ke phir na jud paounga.Ab agar Hawa bhi Chuwegi tu Bikhar jaounga”.Alfaaz ke pardaoun mein karo is ka Yakheen,Leti hai Saans nazm-e-Shayer ki zameen,Ahista hi Gungunao mere Ashaar,Daar hai na Kuchal jayein mere Kahab Kahin.

Your Comment Comment Head Icon

Login