Kanto main phulonko khilte hue dekha hai,Tufano main kashtiyonko sambhalte hue dekha hai,Andhero ko ujalon main dhalte hue dekha hai,Hamane waqt ke saath logo ko badalte hue dekha hai,Kanto main phulo ko.Jab jab bhi aaye kisi ki yaad,jiske bina dil rahetatha hardam udas,jab wo aakar mila bahot dino ke baad,Tab aasuonko bhi kushiyonmain badalte hue dekha hai,Kanto main phulo koApne haq ke liye bar bar insano ko ladate hue dekha hai,Hamane kai acche logonko buri sangat main padate hue dekha hai,Budhe lachar Maa Baap se jawan bete aur bahu ko,zagadate hue dekha hai,Banate bante kam ko kai bar bigadate hue dekha hai,Kanto main phulo koHamane kai baar apne matalab ke liye,khun ke rishton ko bhi tutate hue dekha hai,Apni jeb bharne ke liye dusro ko lootate hue dekha hai,Aur pakade jane par choro-jebkataronko marte dum tak,pitate hue dekha hai,Apne hi desh ke logonko dharm aur jati ke naam pe,batate hue dekha hai,Kanto main phulo ko.BHARAT DESH hai hamara,Jag main hai sab se pyara,jab jab bhi kabhi ispar aanch aayee kisiki,Tab tab desh ke shur-veer jawano ko,Matrubhumi ki raksha main Amar hote hue dekha hai.JAI HIND JAI BHARAT

Your Comment Comment Head Icon

Login